Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na koi naghma hun na saz-e-KHush-nawa hun main

S. Nooruddin Anwar Bhopali

na koi naghma hun na saz-e-KHush-nawa hun main

S. Nooruddin Anwar Bhopali

MORE BYS. Nooruddin Anwar Bhopali

    na koī naġhma huuñ na sāz-e-ḳhush-navā huuñ maiñ

    shikast-e-shīsha-e-dil magar sadā huuñ maiñ

    vo jalva-bār haiñ jis samt dekhtā huuñ maiñ

    tajalliyāt-e-mohabbat meñ ghir gayā huuñ maiñ

    nigāh-e-yās mirī tarjumān-e-dil kyoñ ho

    ḳhud ārzū-e-mujassam banā huā huuñ maiñ

    bahār-e-husn-o-shabāb-e-bahār yā-allāh

    bas ik nigāh-e-sarāpā banā huā huuñ maiñ

    tamām ruuh khiñch aa.ī hai donoñ āñkhoñ meñ

    ye kaun sāmne hai kis ko dekhtā huuñ maiñ

    harīm-e-husn se ye kaun hai tajallī-rez

    tamām hairat-e-jalva banā huā huuñ maiñ

    ḳhayāl-e-husn-o-sharāb-e-sarishk-o-naġhma-e-dard

    nashāt-o-rang mujassam banā huā huuñ maiñ

    ye kaun jalva-numā hai ki aaj phir sar-e-bazm

    sharāb-e-husn nigāhoñ se rahā huuñ maiñ

    ye kis ne chheḌ diyā sāz-e-zindagī 'anvar'

    tamām naġhma-o-fariyād ban gayā huuñ maiñ

    na koi naghma hun na saz-e-KHush-nawa hun main

    shikast-e-shisha-e-dil ki magar sada hun main

    wo jalwa-bar hain jis samt dekhta hun main

    tajalliyat-e-mohabbat mein ghir gaya hun main

    nigah-e-yas meri tarjuman-e-dil kyon ho

    KHud aarzu-e-mujassam bana hua hun main

    bahaar-e-husn-o-shabab-e-bahaar ya-allah

    bas ek nigah-e-sarapa bana hua hun main

    tamam ruh khinch aai hai donon aankhon mein

    ye kaun samne hai kis ko dekhta hun main

    harim-e-husn se ye kaun hai tajalli-rez

    tamam hairat-e-jalwa bana hua hun main

    KHayal-e-husn-o-sharab-e-sarishk-o-naghma-e-dard

    nashat-o-rang mujassam bana hua hun main

    ye kaun jalwa-numa hai ki aaj phir sar-e-bazm

    sharab-e-husn nigahon se pi raha hun main

    ye kis ne chheD diya saz-e-zindagi 'anwar'

    tamam naghma-o-fariyaad ban gaya hun main

    Source:

    Hadees-e-Dil (Pg. 62)

    • Author: S. Nooruddin Anwar Bhopali
      • Publisher: S. Nooruddin Anwar Bhopali
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now