na koi shakl hi ubhri na koi KHaka bana
na koī shakl hī ubhrī na koī ḳhāka banā
tamām she'roñ se kāġhaz kā ik pulanda banā
na kūza-gar ne hameñ chaak se utārā kabhī
na kūza-gar se hamārā kabhī sarāpā banā
mujhe banāne kī jab tū ne Thaan hī lī hai
koī miTā na sake ab ke mujh ko aisā banā
agar vo māntā merī to hukm detā maiñ
burī banī hai ye duniyā ise dubāra banā
mirā tamāsha kisī aur kā na thā mohtāj
maiñ aap 'qais' banā thā maiñ aap lailā banā
dayār-e-she'r-o-suḳhan meñ rahā maiñ thoḌī der
kahe kuchh achchhe bure she'r aur chaltā banā
na koi shakl hi ubhri na koi KHaka bana
tamam she'ron se kaghaz ka ek pulanda bana
na kuza-gar ne hamein chaak se utara kabhi
na kuza-gar se hamara kabhi sarapa bana
mujhe banane ki jab tu ne Than hi li hai
koi miTa na sake ab ke mujh ko aisa bana
agar wo manta meri to hukm deta main
buri bani hai ye duniya ise dubara bana
mera tamasha kisi aur ka na tha mohtaj
main aap 'qais' bana tha main aap laila bana
dayar-e-she'r-o-suKHan mein raha main thoDi der
kahe kuchh achchhe bure she'r aur chalta bana
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 49)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.