Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na kyon apni mohabbat ko hi be-lafz-o-bayan kar len

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

na kyon apni mohabbat ko hi be-lafz-o-bayan kar len

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    na kyoñ apnī mohabbat ko be-lafz-o-bayāñ kar leñ

    ḳhamoshī ko zabāñ kar leñ nazar ko dāstāñ kar leñ

    hasīñ hai husn se tere ye pastī bhī bulandī bhī

    na kyoñ phir tujh ko sajde ham jahāñ chāheñ vahāñ kar leñ

    tabassum ko lab-e-lālī pe apne kuchh bikharne do

    dil-e-vīrāñ ko dam bhar ham bhī raqs-e-gulsitāñ kar leñ

    yahī mausam yahī din the ki ham se qāfila chhūTā

    mohabbat se ham ik baar aur yād-e-kārvāñ kar leñ

    shikasta par haiñ pahuñche kis tarah ujḌe nasheman meñ

    ba-sad-hasrat nigāheñ kyoñ na sū-e-āshiyāñ kar leñ

    nigāheñ dekheñ saaqī ki us ke haath meñ sāġhar

    zarā zauq-e-nazar aaj ham bhī intihā kar leñ

    'habīb' is zindagī meñ ye badī bad-sūratī kaisī

    hasīñ ham kyoñ na husn-e-yār se apnā jahāñ kar leñ

    na kyon apni mohabbat ko hi be-lafz-o-bayan kar len

    KHamoshi ko zaban kar len nazar ko dastan kar len

    hasin hai husn se tere ye pasti bhi bulandi bhi

    na kyon phir tujh ko sajde hum jahan chahen wahan kar len

    tabassum ko lab-e-lali pe apne kuchh bikharne do

    dil-e-viran ko dam bhar hum bhi raqs-e-gulsitan kar len

    yahi mausam yahi din the ki hum se qafila chhuTa

    mohabbat se hum ek bar aur yaad-e-karwan kar len

    shikasta par hain pahunche kis tarah ujDe nasheman mein

    ba-sad-hasrat nigahen kyon na su-e-ashiyan kar len

    nigahen dekhen saqi ki ki us ke hath mein saghar

    zara zauq-e-nazar ka aaj hum bhi intiha kar len

    'habib' is zindagi mein ye badi bad-surati kaisi

    hasin hum kyon na husn-e-yar se apna jahan kar len

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 57)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now