Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na mah-ru na kisi mahtab se hui thi

Ali Muzammil

na mah-ru na kisi mahtab se hui thi

Ali Muzammil

MORE BYAli Muzammil

    na māh-rū na kisī māhtāb se huī thī

    hameñ to pahlī mohabbat kitāb se huī thī

    fareb-e-kul hai zamīñ aur namūna-e-azdād

    ki ibtidā gunāh-o-savāb se huī thī

    bas ek shab kahānī nahīñ ki bhuul sakeñ

    har ek shab mumāsil itaab se huī thī

    vajūd-e-chashm thā Thahre samundaroñ misāl

    numūd-e-hālat-e-dil ik habāb se huī thī

    jazā-e-ishq-e-haqīqī rahī talab apnī

    ḳhatā-e-ishq-e-majāzī janāb se huī thī

    usī se tīra-shabī meñ hai manzaroñ vajūd

    vo raushnī jo mashiyyat ke baab se huī thī

    vahī to jehd-e-musalsal ibtidā thī 'alī'

    jab āshnā.ī qadam rikāb se huī thī

    na mah-ru na kisi mahtab se hui thi

    hamein to pahli mohabbat kitab se hui thi

    fareb-e-kul hai zamin aur namuna-e-azdad

    ki ibtida hi gunah-o-sawab se hui thi

    bas ek shab ki kahani nahin ki bhul saken

    har ek shab hi mumasil itab se hui thi

    wajud-e-chashm tha Thahre samundaron ki misal

    numud-e-haalat-e-dil ek habab se hui thi

    jaza-e-ishq-e-haqiqi rahi talab apni

    KHata-e-ishq-e-majazi janab se hui thi

    usi se tira-shabi mein hai manzaron ka wajud

    wo raushni jo mashiyyat ke bab se hui thi

    wahi to jehd-e-musalsal ki ibtida thi 'ali'

    jab aashnai qadam ki rikab se hui thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now