Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na manzil thi na rasta tha kiya phir bhi safar barson

Kuldeep Salil

na manzil thi na rasta tha kiya phir bhi safar barson

Kuldeep Salil

MORE BYKuldeep Salil

    na manzil thī na rasta thā kiyā phir bhī safar barsoñ

    vo jalva to gayā lekin rahā us asar barsoñ

    savāl-e-zindagī aksar kiye rahtā pareshāñ thā

    talāsh-e-zindagī meñ rahī apnī nazar barsoñ

    milī jo maañ mujhe kal raat sapne meñ to yaad aayā

    nahīñ jaanā huā merā hai ab ke apne ghar barsoñ

    nahīñ detī hamārī zindagī bhī āj-kal fursat

    tumhārā bhī nahīñ hotā hai ab aanā idhar barsoñ

    mirī mahrūmiyoñ se vāsta thā kyā bhalā is

    milā paayā nahīñ yārab maiñ duniyā se nazar barsoñ

    na jaane intizār us 'salīl' rahtā hai kyoñ tujh ko

    nahīñ rahtī jise shāyad ḳhud apnī ḳhabar barsoñ

    na manzil thi na rasta tha kiya phir bhi safar barson

    wo jalwa to gaya lekin raha us ka asar barson

    sawal-e-zindagi aksar kiye rahta pareshan tha

    talash-e-zindagi mein hi rahi apni nazar barson

    mili jo man mujhe kal raat sapne mein to yaad aaya

    nahin jaana hua mera hai ab ke apne ghar barson

    nahin deti hamari zindagi bhi aaj-kal fursat

    tumhaara bhi nahin hota hai ab aana idhar barson

    meri mahrumiyon se wasta tha kya bhala is ka

    mila paya nahin yarab main duniya se nazar barson

    na jaane intizar us ka 'salil' rahta hai kyon tujh ko

    nahin rahti jise shayad KHud apni hi KHabar barson

    Source:

    Dhoop Ke Saye Mein (Pg. 59)

    • Author: Kuldeep Salil
      • Publisher: Hind Pocket Books, Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now