Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na mom hun na sang hun malang hun

Faisal Imam Rizvi

na mom hun na sang hun malang hun

Faisal Imam Rizvi

MORE BYFaisal Imam Rizvi

    na mom huuñ na sang huuñ malang huuñ

    maiñ ḳhud se ḳhud jang huuñ malang huuñ

    tumheñ jahān-e-rang-o-bū shauq hai

    maiñ zindagī se tang huuñ malang huuñ

    mire badan pe ishq ke nishān haiñ

    tirī nazar meñ nang huuñ malang huuñ

    chhalak paḌe haiñ jaam jis ke saaz se

    maiñ aisī jal-tarang huuñ malang huuñ

    na gard na bārishoñ Dar mujhe

    maiñ aisā ḳhaas rang huuñ malang huuñ

    tire badan ke mo.ajizoñ ko dekh kar

    maiñ aql vaalā dang huuñ malang huuñ

    na rok mujh ko raqs se maiñ kah chukā

    malang huuñ malang huuñ malang huuñ

    na mom hun na sang hun malang hun

    main KHud se KHud ki jang hun malang hun

    tumhein jahan-e-rang-o-bu ka shauq hai

    main zindagi se tang hun malang hun

    mere badan pe ishq ke nishan hain

    teri nazar mein nang hun malang hun

    chhalak paDe hain jam jis ke saz se

    main aisi jal-tarang hun malang hun

    na gard ka na barishon ka Dar mujhe

    main aisa KHas rang hun malang hun

    tere badan ke moajizon ko dekh kar

    main aql wala dang hun malang hun

    na rok mujh ko raqs se main kah chuka

    malang hun malang hun malang hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now