na muddai na koi muddaa lage hai mujhe
na mudda.ī na koī mudda.ā lage hai mujhe
ajiib rang kī dil meñ fazā lage hai mujhe
burā na maano to tum se maiñ ek baat kahūñ
ye guftugū kā tarīqa burā lage hai mujhe
hazār jurm pe bhī hai mirā karam-farmā
maiñ kyā batā.ūñ ki vo shoḳh kyā lage hai mujhe
vo ḳhūb-rū bhī hai dilbar bhī aur dil-ārā bhī
magar vo shoḳh kuchh is se sivā lage hai mujhe
maiñ chheḌtā huuñ use aur vo kosne de hai
magar ye kosnā jaise duā lage hai mujhe
jo paas aan ke baiThe chaman sā khil jaa.e
chale to jumbish-e-bād-e-sabā lage hai mujhe
ḳhirām-e-bād-e-sabā laakh gul-nishāñ ho jaa.e
kisī kī chaal kī jhūTī adā lage hai mujhe
ye lāla-o-gul-o-nargis ye abr-o-bād-e-chaman
kisī ke jism kī utrī qabā lage hai mujhe
tamām aasre bekār-e-mahz haiñ 'naqvī'
usī kā aasrā bas aasrā lage hai mujhe
na muddai na koi muddaa lage hai mujhe
ajib rang ki dil mein faza lage hai mujhe
bura na mano to tum se main ek baat kahun
ye guftugu ka tariqa bura lage hai mujhe
hazar jurm pe bhi hai mera karam-farma
main kya bataun ki wo shoKH kya lage hai mujhe
wo KHub-ru bhi hai dilbar bhi aur dil-ara bhi
magar wo shoKH kuchh is se siwa lage hai mujhe
main chheDta hun use aur wo kosne de hai
magar ye kosna jaise dua lage hai mujhe
jo pas aan ke baiThe chaman sa khil jae
chale to jumbish-e-baad-e-saba lage hai mujhe
KHiram-e-baad-e-saba lakh gul-nishan ho jae
kisi ki chaal ki jhuTi ada lage hai mujhe
ye lala-o-gul-o-nargis ye abr-o-baad-e-chaman
kisi ke jism ki utri qaba lage hai mujhe
tamam aasre bekar-e-mahz hain 'naqwi'
usi ka aasra bas aasra lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.