Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi

Khalilur Rahman Raz

na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi

Khalilur Rahman Raz

MORE BYKhalilur Rahman Raz

    na nazar dīda-varī rahī na jigar be-jigarī rahī

    magar ahl-e-dā'vā-e-shauq se tirī barham-e-nāz bharī rahī

    kabhī jaag uThā kabhī so gayā kabhī khil uThā kabhī kho gayā

    dil-e-mast jām-e-jamāl ko na ḳhabar na be-ḳhabarī rahī

    ye 'ajab havas dayār hai yahāñ 'aam anā ḳhumār hai

    mujhe apne sahrā se pyaar hai mujhe raas dar-ba-darī rahī

    na dil-o-dimāġh ko hai sukūñ na zamāñ makāñ ko qarār hai

    maiñ safar meñ huuñ ki hazar meñ huuñ mirī zindagī safarī rahī

    kahīñ chāñd jugnū parinda rut kahīñ rang dhuup dhanak nirt

    mire daur meñ dil-e-muztarib ye ġhazal shīshagarī rahī

    yahāñ makr bhī hai jadal bhī hai yahāñ bal ke saath meñ chhal bhī hai

    fan-e-tesha-gar ke kamāl se zan-e-hīla-gar kharī rahī

    ye tabassum-e-sar-e-anjuman vo adāvatoñ ke diloñ meñ phan

    na.e daur meñ na.ī nasl yahī shān-e-dīda-varī rahī

    jo ḳhudā-shanās nahīñ huā kabhī ḳhud-shanās na ho sakā

    vo jo munkirīn-e-ḳhudā hue unheñ ḳhud se be-ḳhabarī rahī

    mire fan ke zauq-e-latīf ko sanad ahl-e-zauq chāhiye

    magar aaj tak sar-e-anjuman ye talab dharī dharī rahī

    jo the tālibān-e-ilāj-e-ġham unheñ gahrī niiñd sulā diyā

    na maraz rahā na marīz ye ġhazab chāragarī rahī

    na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi

    magar ahl-e-da'wa-e-shauq se teri barham-e-naz bhari rahi

    kabhi jag uTha kabhi so gaya kabhi khil uTha kabhi kho gaya

    dil-e-mast jam-e-jamal ko na KHabar na be-KHabari rahi

    ye 'ajab hawas ka dayar hai yahan 'am ana ka KHumar hai

    mujhe apne sahra se pyar hai mujhe ras dar-ba-dari rahi

    na dil-o-dimagh ko hai sukun na zaman makan ko qarar hai

    main safar mein hun ki hazar mein hun meri zindagi safari rahi

    kahin chand jugnu parinda rut kahin rang dhup dhanak nirt

    mere daur mein dil-e-muztarib ye ghazal ki shishagari rahi

    yahan makr bhi hai jadal bhi hai yahan bal ke sath mein chhal bhi hai

    fan-e-tesha-gar ke kamal se zan-e-hila-gar hi khari rahi

    ye tabassum-e-sar-e-anjuman wo adawaton ke dilon mein phan

    nae daur mein nai nasl ki yahi shan-e-dida-wari rahi

    jo KHuda-shanas nahin hua kabhi KHud-shanas na ho saka

    wo jo munkirin-e-KHuda hue unhen KHud se be-KHabari rahi

    mere fan ke zauq-e-latif ko sanad ahl-e-zauq ki chahiye

    magar aaj tak sar-e-anjuman ye talab dhari ki dhari rahi

    jo the taliban-e-ilaj-e-gham unhen gahri nind sula diya

    na maraz raha na mariz hi ye ghazab ki chaaragari rahi

    Source:

    Nawa-e-Raaz (Pg. 163)

    • Author: Khalilur Rahman Raz
      • Edition: 1992
      • Publisher: Maktaba Deen-o-Adab, Lucknow
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now