Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na pher yun nigah tu karam zara sa rahne de

Gurbir Chhaebrra

na pher yun nigah tu karam zara sa rahne de

Gurbir Chhaebrra

MORE BYGurbir Chhaebrra

    na pher yuuñ nigāh karam zarā rahne de

    hamārā rishta hai abhī bharam zarā rahne de

    bichhaḌne vajah thī kyā ye bhuul jaate haiñ magar

    jo us ke saath hai juḌā vo ġham zarā rahne de

    terī ḳhushī ke vāste maiñ sau sau baar mar-miTūñ

    to is junūn-e-ishq ko sanam zarā rahne de

    rahā hai chhoḌ ke to ye hai ḳhushī terī

    magar merī in āñkhoñ ko nam zarā rahne de

    akelā-pan ye ḳhālī ghar ye sofa mez yādeñ ḳhat

    hai in se naatā aaj bhī bharam zarā rahne de

    karam baḌā ho ye tirā jo merī jholī bhare

    ye rūkhā-pan ye rūThnā sitam zarā rahne de

    yaqīñ hai phir mileñge ham kahīñ kisī jahān meñ

    baḌā pyārā ḳhvāb hai sanam zarā rahne de

    na pher yun nigah tu karam zara sa rahne de

    hamara rishta hai abhi bharam zara sa rahne de

    bichhaDne ki wajah thi kya ye bhul jate hain magar

    jo us ke sath hai juDa wo gham zara sa rahne de

    teri KHushi ke waste main sau sau bar mar-miTun

    to is junun-e-ishq ko sanam zara sa rahne de

    tu ja raha hai chhoD ke to ja ye hai KHushi teri

    magar meri in aankhon ko tu nam zara sa rahne de

    akela-pan ye KHali ghar ye sofa mez yaaden KHat

    hai in se nata aaj bhi bharam zara sa rahne de

    karam baDa ho ye tera jo meri jholi tu bhare

    ye rukha-pan ye ruThna sitam zara sa rahne de

    yaqin hai phir milenge hum kahin kisi jahan mein

    baDa hi pyara KHwab hai sanam zara sa rahne de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now