Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na puchh dil ke KHarabe se aur kya nikla

Prem Warbartani

na puchh dil ke KHarabe se aur kya nikla

Prem Warbartani

MORE BYPrem Warbartani

    na pūchh dil ke ḳharābe se aur kyā niklā

    baḌī talāsh ke ba.ad ek naqsh-e-pā niklā

    ruke to chāñd bahut duur thā tasavvur se

    chale to chaar qadmoñ fāslā niklā

    ḳhirad ke phuul to murjhā ga.e bahāroñ meñ

    junūñ zaḳhm ḳhizāñ meñ harā-bharā niklā

    siyāh raat meñ lau de uThe lahū ke charāġh

    rubāb-e-ishq se vo shola-e-navā niklā

    safar-e-shabāb had-darja muḳhtasar thā magar

    bahut tavīl sarāboñ silsila niklā

    nigāh-e-nāz meñ mastī bhī hai taqaddus bhī

    sharāb-ḳhāne mandir se rābta niklā

    visāl-e-yār to qismat baat hai be-shak

    ḳhayāl-e-yār bhī ham se bahut ḳhafā niklā

    nigār-e-sher ne sola-siñgār jis meñ kiye

    vo aa.ina mire ashkoñ ā.īnā niklā

    kamāl-e-chashm-e-nazāra to dekhiye ai 'prem'

    bayāz-e-jism har raaz ḳhushnumā niklā

    na puchh dil ke KHarabe se aur kya nikla

    baDi talash ke baad ek naqsh-e-pa nikla

    ruke to chand bahut dur tha tasawwur se

    chale to chaar hi qadmon ka fasla nikla

    KHirad ke phul to murjha gae bahaaron mein

    junun ka zaKHm KHizan mein hara-bhara nikla

    siyah raat mein lau de uThe lahu ke charagh

    rubab-e-ishq se wo shola-e-nawa nikla

    safar-e-shabab ka had-darja muKHtasar tha magar

    bahut tawil sarabon ka silsila nikla

    nigah-e-naz mein masti bhi hai taqaddus bhi

    sharab-KHane ka mandir se rabta nikla

    visal-e-yar to qismat ki baat hai be-shak

    KHayal-e-yar bhi hum se bahut KHafa nikla

    nigar-e-sher ne sola-singar jis mein kiye

    wo aaina mere ashkon ka aaina nikla

    kamal-e-chashm-e-nazara to dekhiye ai 'prem'

    bayaz-e-jism ka har raaz KHushnuma nikla

    Source:

    Khushbu Ka Khwab (Pg. 99)

    • Author: Prem Warbartani
      • Edition: 1976
      • Publisher: Miss V. D. Kakkad
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now