Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na puchho dil ko le kar muddaa kya

Jauhar Zahiri

na puchho dil ko le kar muddaa kya

Jauhar Zahiri

MORE BYJauhar Zahiri

    na pūchho dil ko le kar mudda.ā kyā

    taqāzā-e-nigāh-e-nāz thā kyā

    nahīñ fitna-badāmāñ har adā kyā

    nigāh-e-nāz hai fitna-e-zā kyā

    kisī ke vasl se behtar hai furqat

    agar hasrat nahīñ to phir rahā kyā

    ayaañ hai merī bad-halī se sab kuchh

    batā.ūñ aur qismat likhā kyā

    tumhāre saath lutf-e-zindagī thā

    jiyā koī agar yuuñ to jiyā kyā

    bahut machle the dil lene ḳhātir

    na jaane merā dil le kar kiyā kyā

    hue 'jauhar' sabhī apne parā.e

    sukūn-e-jān-o-dil kyā dilrubā kyā

    na puchho dil ko le kar muddaa kya

    taqaza-e-nigah-e-naz tha kya

    nahin fitna-badaman har ada kya

    nigah-e-naz hi hai fitna-e-za kya

    kisi ke wasl se behtar hai furqat

    agar hasrat nahin to phir raha kya

    ayan hai meri bad-hali se sab kuchh

    bataun aur qismat ka likha kya

    tumhaare sath lutf-e-zindagi tha

    jiya koi agar yun to jiya kya

    bahut machle the dil lene ki KHatir

    na jaane mera dil le kar kiya kya

    hue 'jauhar' sabhi apne parae

    sukun-e-jaan-o-dil kya dilruba kya

    Source:

    Wadi-e-Khayal (Pg. 42)

    • Author: Jauhar Zahiri
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad, Maktaba Qasr-e-Urdu, Delhi
      • Year of Publication: 1957
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now