na qatra kam hai na kaafī tamām mai-ḳhāna
jo zarf jis kā hai us kā vahī hai paimāna
asar hai sab pe mai-e-ishq kā judāgāna
kisī ko nashsha nahīñ hai koī hai dīvāna
tajalliyoñ meñ ho taqsīm ḳhāk-e-dil kyūñ-kar
hazār sham' farozāñ aur ek parvāna
bayān-e-zaḳhm-e-jigar par vo muskurāte haiñ
hañsī hañsī meñ badalte haiñ rañg-e-afsāna
kisī ke zaḳhm se miltā nahīñ kisī kā zaḳhm
tirī nazar ke haiñ ruḳh kis qadar judāgāna
har ek zarra sharābī har ek qatra sharāb
tamām 'ālam-e-imkāñ hai ek mai-ḳhāna
jahāñ-numā to hai sāqī-numā nahīñ 'nātiq'
badal ke le gayā jamshed merā paimāna
na qatra kam hai na kafi tamam mai-KHana
jo zarf jis ka hai us ka wahi hai paimana
asar hai sab pe mai-e-ishq ka judagana
kisi ko nashsha nahin hai koi hai diwana
tajalliyon mein ho taqsim KHak-e-dil kyun-kar
hazar sham' farozan aur ek parwana
bayan-e-zaKHm-e-jigar par wo muskuraate hain
hansi hansi mein badalte hain rang-e-afsana
kisi ke zaKHm se milta nahin kisi ka zaKHm
teri nazar ke hain ruKH kis qadar judagana
har ek zarra sharabi har ek qatra sharab
tamam 'alam-e-imkan hai ek mai-KHana
jahan-numa to hai saqi-numa nahin 'natiq'
badal ke le gaya jamshed mera paimana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.