Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na rakh-rakhaw sajawaT na dilrubai hai

Abhay Kumar Bebak

na rakh-rakhaw sajawaT na dilrubai hai

Abhay Kumar Bebak

MORE BYAbhay Kumar Bebak

    na rakh-rakhāv sajāvaT na dilrubā.ī hai

    ye kis tarah havā-e-ġhazal-sarā.ī hai

    haveliyoñ ke khañDar dāstāñ bhī rakhte haiñ

    ye agle daur andāz-e-peshvā.ī hai

    kahāñ shauq kahāñ koī intihā-e-shauq

    bas intizār meñ ik zindagī bitā.ī hai

    har ek phuul ko chhū kar ga.ī hai bād-e-sabā

    ki us ne aag gulshan meñ phir lagā.ī hai

    kisī ne pūchh liyā thā hamārā hāl-e-dil

    phir us ke baa'd kahāñ ḳhud yaad aa.ī hai

    hamāre ḳhvāb hameñ zindagī dikhāte haiñ

    ki apnī niiñd sitāroñ jhilmilā.ī hai

    ab us naam bhī lenā muhāl hai 'bebāk'

    shadīd choT kaleje pe jab se khaa.ī hai

    na rakh-rakhaw sajawaT na dilrubai hai

    ye kis tarah ki hawa-e-ghazal-sarai hai

    haweliyon ke khanDar dastan bhi rakhte hain

    ye agle daur ka andaz-e-peshwai hai

    kahan ka shauq kahan koi intiha-e-shauq

    bas intizar mein ek zindagi bitai hai

    har ek phul ko chhu kar gai hai baad-e-saba

    ki us ne aag si gulshan mein phir lagai hai

    kisi ne puchh liya tha hamara haal-e-dil

    phir us ke ba'd kahan KHud ki yaad aai hai

    hamare KHwab hamein zindagi dikhate hain

    ki apni nind sitaron si jhilmilai hai

    ab us ka nam bhi lena muhaal hai 'bebak'

    shadid choT kaleje pe jab se khai hai

    Source:

    Khumar-e-Khwab (Pg. 18)

    • Author: Abhay Kumar Bebak
      • Publisher: Abhay Kumar Bebak
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now