Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na raushni hai ziyaada na saKHt andhera hai

Abhay Kumar Bebak

na raushni hai ziyaada na saKHt andhera hai

Abhay Kumar Bebak

MORE BYAbhay Kumar Bebak

    na raushnī hai ziyāda na saḳht añdherā hai

    ye ġham shaam hai dard saverā hai

    javāñ huā to hijāboñ ne Dhak liyā us ko

    ab is ke baa’d vo dil terā hai na merā hai

    hameñ milī bhī to rahne ko zindagī galī

    bad aur nek 'amal jahāñ pe pherā hai

    ḳhud apne ḳhuun se sīñchā hai zindagī shajar

    jo hasratoñ ke parindoñ ab baserā hai

    bachī hai dil meñ faqat ik kiran masarrat

    ise bhī yaas badlī ne aan gherā hai

    ham is qadar bhī akele nahīñ rahe 'bebāk'

    dimāġh-o-dil meñ ḳhalā aur Derā hai

    na raushni hai ziyaada na saKHt andhera hai

    ye gham ki sham hai ya dard ka sawera hai

    jawan hua to hijabon ne Dhak liya us ko

    ab is ke ba’d wo dil tera hai na mera hai

    hamein mili bhi to rahne ko zindagi ki gali

    bad aur nek 'amal ka jahan pe phera hai

    KHud apne KHun se sincha hai zindagi ka shajar

    jo hasraton ke parindon ka ab basera hai

    bachi hai dil mein faqat ek kiran masarrat ki

    ise bhi yas ki badli ne aan ghera hai

    hum is qadar bhi akele nahin rahe 'bebak'

    dimagh-o-dil mein KHala aur hu ka Dera hai

    Source:

    Khumar-e-Khwab (Pg. 78)

    • Author: Abhay Kumar Bebak
      • Publisher: Abhay Kumar Bebak
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now