Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na sirf dil hi gaya dil ka muddaa bhi gaya

Nasreen Naqqash

na sirf dil hi gaya dil ka muddaa bhi gaya

Nasreen Naqqash

MORE BYNasreen Naqqash

    na sirf dil gayā dil mudda.ā bhī gayā

    vo kyā ga.e kabhī milne silsila bhī gayā

    maiñ us ko jaane se rokūñ to kis tarah rokūñ

    maiñ sochtī rahī aur vo chalā bhī gayā

    vo aur din the ki jab zindagī meñ sab kuchh thā

    ab us ke ba.ad to jiine hausla bhī gayā

    husūl-e-zar havas us ko le ga.ī pardes

    sukūn-e-dil vo daulat magar luTā bhī gayā

    havā jhoñkā jo shāḳhoñ ko gudgudātā thā

    vo hañste phūloñ ko chhū kar unheñ rulā bhī gayā

    vo shahr-e-sañg meñ pahuñchā to ho gayā patthar

    ab us se milne pur-kaif silsila bhī gayā

    koī batā.e to 'nasrīn' ham kahāñ jaa.eñ

    use bhī na sake haath se ḳhudā bhī gayā

    na sirf dil hi gaya dil ka muddaa bhi gaya

    wo kya gae kabhi milne ka silsila bhi gaya

    main us ko jaane se rokun to kis tarah rokun

    main sochti hi rahi aur wo chala bhi gaya

    wo aur din the ki jab zindagi mein sab kuchh tha

    ab us ke baad to jine ka hausla bhi gaya

    husul-e-zar ki hawas us ko le gai pardes

    sukun-e-dil ki wo daulat magar luTa bhi gaya

    hawa ka jhonka jo shaKHon ko gudgudata tha

    wo hanste phulon ko chhu kar unhen rula bhi gaya

    wo shahr-e-sang mein pahuncha to ho gaya patthar

    ab us se milne ka pur-kaif silsila bhi gaya

    koi batae to 'nasrin' hum kahan jaen

    use bhi pa na sake hath se KHuda bhi gaya

    Source:

    Dasht-e-Tanhayi (Pg. 45)

    • Author: Nasreen Naqqash
      • Publisher: Qasmi Khan Qateel Rajasthani
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now