Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na socha na samjha na sikha na jaana

Qadeer Lakhnavi

na socha na samjha na sikha na jaana

Qadeer Lakhnavi

MORE BYQadeer Lakhnavi

    na sochā na samjhā na sīkhā na jaanā

    mujhe aa gayā ḳhud-ba-ḳhud dil lagānā

    zarā dekh kar apnā jalva dikhānā

    simaT kar kahīñ aa na jaa.e zamānā

    zabāñ par lagī haiñ vafāoñ mohreñ

    ḳhamoshī mirī kah rahī hai fasānā

    guloñ tak rasā.ī to āsāñ hai lekin

    hai dushvār kāñToñ se dāman bachānā

    karo laakh tum mātam-e-naujavānī

    'qadīr' ab nahīñ aa.egā guzrā zamānā

    na socha na samjha na sikha na jaana

    mujhe aa gaya KHud-ba-KHud dil lagana

    zara dekh kar apna jalwa dikhana

    simaT kar kahin aa na jae zamana

    zaban par lagi hain wafaon ki mohren

    KHamoshi meri kah rahi hai fasana

    gulon tak rasai to aasan hai lekin

    hai dushwar kanTon se daman bachana

    karo lakh tum matam-e-naujawani

    'qadir' ab nahin aaega guzra zamana

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Begum Akhtar

    Begum Akhtar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now