Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na suna ab mujhe tu afsana

Shadan Ahsan Marahravi

na suna ab mujhe tu afsana

Shadan Ahsan Marahravi

MORE BYShadan Ahsan Marahravi

    na sunā ab mujhe afsāna

    jal uThe na kahīñ ye parvāna

    rāteñ kāTīñ haiñ karvaTeñ le kar

    ishq karne hai ye harjānā

    aag dariyā paar karnā hai

    ishq raah se guzar jaanā

    un ke aane se chain aatā hai

    un jaanā hai jaan jaanā

    qatl karnā nahīñ hai mansūba

    un ḳhvāhish hai mujh ko taḌpānā

    māntā nahīñ kabhī merī

    kitnā mushkil hai dil ko samajhnā

    harj un se nahīñ hai milne meñ

    dil lete haiñ par vo harjāna

    ye adā.eñ haiñ yaar ke fitne

    hayā shoḳhī ġhazab itrānā

    na suna ab mujhe tu afsana

    jal uThe na kahin ye parwana

    raaten kaTin hain karwaTen le kar

    ishq karne ka hai ye harjaana

    aag ka dariya par karna hai

    ishq ki rah se guzar jaana

    un ke aane se chain aata hai

    un ka jaana hai jaan ka jaana

    qatl karna nahin hai mansuba

    un ki KHwahish hai mujh ko taDpana

    manta hi nahin kabhi meri

    kitna mushkil hai dil ko samajhna

    harj un se nahin hai milne mein

    dil ka lete hain par wo harjaana

    ye adaen hain yar ke fitne

    haya shoKHi ghazab ka itrana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now