Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na suni par na suni usne dil-e-zar ki arz

Tanvir Dehlvi

na suni par na suni usne dil-e-zar ki arz

Tanvir Dehlvi

MORE BYTanvir Dehlvi

    na sunī par na sunī us ne dil-e-zār arz

    kaun suntā hai bhalā aise gunahgār arz

    chalo āhista ki hotī hai qayāmat barpā

    fitna-e-hashr ne ye us se ka.ī baar arz

    jumbish-e-lab hai dam-e-naz.a ye kuchh kahtā hai

    sun to lo apne zarā mā.il-e-guftār arz

    zikr-e-aġhyār se chhiḌkā kiye zaḳhmoñ pe namak

    dam-e-kushtan na sunī kushta-e-talvār arz

    mad.h-ḳhvāñ āl-e-ebā maiñ rahūñ ai 'tanvīr'

    hai ye ḳhidmat meñ janāb-e-sah-e-abrār arz

    na suni par na suni us ne dil-e-zar ki arz

    kaun sunta hai bhala aise gunahgar ki arz

    chalo aahista ki hoti hai qayamat barpa

    fitna-e-hashr ne ye us se kai bar ki arz

    jumbish-e-lab hai dam-e-naza ye kuchh kahta hai

    sun to lo apne zara mail-e-guftar ki arz

    zikr-e-aghyar se chhiDka kiye zaKHmon pe namak

    dam-e-kushtan na suni kushta-e-talwar ki arz

    madh-KHwan aal-e-eba ka main rahun ai 'tanwir'

    hai ye KHidmat mein janab-e-sah-e-abrar ki arz

    Source:

    Intikhab-e-Sukhan,Volume-001 (Pg. 264)

      • Edition: 1983
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now