Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na tarz-e-dost na rang-e-adu se milta hai

Aliuddeen Naved

na tarz-e-dost na rang-e-adu se milta hai

Aliuddeen Naved

MORE BYAliuddeen Naved

    na tarz-e-dost na rang-e-adū se miltā hai

    vo bāñkpan jo tirī guftugū se miltā hai

    maiñ kyā batā.ūñ ye kis ḳhūb-rū se miltā hai

    jab āftāb lab-e-ābjū se miltā hai

    hamāre zaḳhm hare hoñ to muskurāte haiñ

    hameñ sukūn bhalā kab rafū se miltā hai

    hamārī tarah ye hai kushta-e-sitam ki 'naved'

    hinā rang hamāre lahū se miltā hai

    na tarz-e-dost na rang-e-adu se milta hai

    wo bankpan jo teri guftugu se milta hai

    main kya bataun ye kis KHub-ru se milta hai

    jab aaftab lab-e-abju se milta hai

    hamare zaKHm hare hon to muskuraate hain

    hamein sukun bhala kab rafu se milta hai

    hamari tarah ye hai kushta-e-sitam ki 'nawed'

    hina ka rang hamare lahu se milta hai

    Source:

    Sadaf Tamam Reet Reet (Pg. 48)

    • Author: Aliuddeen Naved
      • Publisher: Hyderabad Literary Form
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now