Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na tarz-e-KHas na andaz-e-gul-fishan le kar

Qaisar Siddiqi

na tarz-e-KHas na andaz-e-gul-fishan le kar

Qaisar Siddiqi

MORE BYQaisar Siddiqi

    na tarz-e-ḳhās na andāz-e-gul-fishāñ le kar

    pukārtā huuñ maiñ tujh ko tirī zabāñ le kar

    tamām husn-e-tamannā dhuāñ dhuāñ le kar

    nigāh bujh ga.ī raat samāñ le kar

    mirī bahār-e-tamannā ko jāvedāñ kar de

    maiñ kyā karūñgā bhalā umr-e-rā.egāñ le kar

    tumhāre bazm dastūr chāhe jo bhī ho

    tumhārī bazm meñ aayā huuñ maiñ zabāñ le kar

    ab aur kitnā tamāsha banā.egī qismat

    phirūñ maiñ apnā janāza kahāñ kahāñ le kar

    mujhe raas na aa.ī ye bad-nasīb zabāñ

    to kyā karoge miyāñ tum mirī zabāñ le kar

    ye pastiyoñ lakīreñ na chhū sakeñgī mujhe

    maiñ ghar se niklā huuñ āñkhoñ meñ āsmāñ le kar

    suhāg jis judā.ī meñ ujḌā ujḌā hai

    kabhī to lauTegā sone chūḌiyāñ le kar

    tumhārā aa.ina kaise na ehtirām kare

    mirī ġhazal bhī to aa.ī hai kahkashāñ le kar

    ḳhirad resham-o-atlas-navāz mahfil meñ

    junūñ chalā hai garebāñ dhajjiyāñ le kar

    mizāj bachchoñ ke jaisā hai ab bhī 'qaisar'

    bahut ḳhush hai vo kāġhaz titliyāñ le kar

    na tarz-e-KHas na andaz-e-gul-fishan le kar

    pukarta hun main tujh ko teri zaban le kar

    tamam husn-e-tamanna dhuan dhuan le kar

    nigah bujh hi gai raat ka saman le kar

    meri bahaar-e-tamanna ko jawedan kar de

    main kya karunga bhala umr-e-raegan le kar

    tumhaare bazm ka dastur chahe jo bhi ho

    tumhaari bazm mein aaya hun main zaban le kar

    ab aur kitna tamasha banaegi qismat

    phirun main apna janaza kahan kahan le kar

    mujhe hi ras na aai ye bad-nasib zaban

    to kya karoge miyan tum meri zaban le kar

    ye pastiyon ki lakiren na chhu sakengi mujhe

    main ghar se nikla hun aankhon mein aasman le kar

    suhag jis ki judai mein ujDa ujDa hai

    kabhi to lauTega sone ki chuDiyan le kar

    tumhaara aaina kaise na ehtiram kare

    meri ghazal bhi to aai hai kahkashan le kar

    KHirad ki resham-o-atlas-nawaz mahfil mein

    junun chala hai gareban ki dhajjiyan le kar

    mizaj bachchon ke jaisa hai ab bhi 'qaisar' ka

    bahut hi KHush hai wo kaghaz ki titliyan le kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now