Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na the ranj-o-alam aah-o-fughan kal shab jahan main tha

Naim Hamid Ali

na the ranj-o-alam aah-o-fughan kal shab jahan main tha

Naim Hamid Ali

MORE BYNaim Hamid Ali

    na the ranj-o-alam āh-o-fuġhāñ kal shab jahāñ maiñ thā

    bahāreñ thiiñ na thā ḳhauf-e-ḳhizāñ kal shab jahāñ meñ thā

    jahān-e-sābit-o-sayyār thā gard-e-safar merī

    mire zer-e-qadam thī kahkashāñ kal shab jahāñ maiñ thā

    parī-paikar nigāre sarv-qadde lāla-ruḳhsāre

    hasīñ ik ik se baḌh kar the vahāñ kal shab jahāñ maiñ thā

    mo.addab saf-ba-saf karrubiyāñ tā'zīm dete the

    sarīr-ārā the shāh-e-do-jahāñ kal shab jahāñ maiñ thā

    atā-e-ahl-e-dil hai is ko ahl-e-dil samajhte the

    maiñ pahuñchā kis tarah kaise vahāñ kal shab jahāñ maiñ thā

    na the ranj-o-alam aah-o-fughan kal shab jahan main tha

    bahaaren thin na tha KHauf-e-KHizan kal shab jahan mein tha

    jahan-e-sabit-o-sayyar tha gard-e-safar meri

    mere zer-e-qadam thi kahkashan kal shab jahan main tha

    pari-paikar nigare sarw-qadde lala-ruKHsare

    hasin ek ek se baDh kar the wahan kal shab jahan main tha

    moaddab saf-ba-saf karrubiyan ta'zim dete the

    sarir-ara the shah-e-do-jahan kal shab jahan main tha

    ata-e-ahl-e-dil hai is ko ahl-e-dil samajhte the

    main pahuncha kis tarah kaise wahan kal shab jahan main tha

    Source:

    Paikar-e-Naghma (Pg. 157)

    • Author: Naim Hamid Ali
      • Publisher: Dar-ul-Ilm, Jeddah
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now