Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na to usko hairat hai na mujhe tajjub hai

Sadiya Roshan Siddiqui

na to usko hairat hai na mujhe tajjub hai

Sadiya Roshan Siddiqui

MORE BYSadiya Roshan Siddiqui

    na to us ko hairat hai na mujhe ta.ajjub hai

    merī us duurī meñ ḳhaas ik taqarrub hai

    buad go siyāsī hai fāsla samājī hai

    darmiyān meñ lekin vājibī tanāsub hai

    jaan apnī jaane qā.eda nahīñ ma.alūm

    baat jo yaqīnī hai us meñ tazabzub hai

    kuchh balīġh logoñ meñ guftugū rahtī hai

    go zabān-bandī hai aañkh meñ taḳhātub hai

    ye dhuāñ hai bārūdī ye mahak hai gandhak

    shahr nishāñ ab to be-amāñ ta.assub hai

    na to us ko hairat hai na mujhe tajjub hai

    meri us ki duri mein KHas ek taqarrub hai

    buad go siyasi hai fasla samaji hai

    darmiyan mein lekin wajibi tanasub hai

    jaan apni jaane ka qaeda nahin malum

    baat jo yaqini hai us mein hi tazabzub hai

    kuchh baligh logon mein guftugu si rahti hai

    go zaban-bandi hai aankh mein taKHatub hai

    ye dhuan hai barudi ye mahak hai gandhak ki

    shahr ka nishan ab to be-aman tassub hai

    Source:

    Roshni Hamari Hai (Pg. 173)

    • Author: Sadiya Roshan Siddiqui
      • Publisher: Al-Hamd Publications, Lahore
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now