na uski yaad mein jina na hi barbaad karna hai
na us kī yaad meñ jiinā na hī barbād karnā hai
hamārā kaam to allāh se fariyād karnā hai
vo milnā chāhe gar ham se ye us kī marzī hai lekin
hameñ bas shaad honā hai use ābād karnā hai
tū kuchh mat pūchhnā us se vo is kā kyā hī kartā hai
tirā to kaam mere dost bas imdād karnā hai
maiñ aa.uuñ bas tire dar pe tire sajde karūñ maulā
qafas se ab mirī mujh ko tujhe āzād karnā hai
koī ḳhvāhish mire dil ko kuchh aise zinda rakhtī hai
kabhī bhūlūñ nahīñ us ko ye mujh ko yaad karnā hai
na us ki yaad mein jina na hi barbaad karna hai
hamara kaam to allah se fariyaad karna hai
wo milna chahe gar hum se ye us ki marzi hai lekin
hamein bas shad hona hai use aabaad karna hai
tu kuchh mat puchhna us se wo is ka kya hi karta hai
tera to kaam mere dost bas imdad karna hai
main aaun bas tere dar pe tere sajde karun maula
qafas se ab meri mujh ko tujhe aazad karna hai
koi KHwahish mere dil ko kuchh aise zinda rakhti hai
kabhi bhulun nahin us ko ye mujh ko yaad karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.