na uTThi aankh kisi lafz-e-be-zarar ki taraf
na uTThī aañkh kisī lafz-e-be-zarar kī taraf
na sañg aa.e kabhī shāḳh-e-be-samar kī taraf
mujhe bhī lamha-e-hijrat ne kar diyā taqsīm
nigāh ghar kī taraf hai qadam safar kī taraf
is ek vahm meñ chup-chup haiñ sūkhtī shāḳheñ
tuyūr lauT na aa.eñ kahīñ shajar kī taraf
ye mo'jiza hai ki siine meñ tiir baiTh gayā
agarche us kā nishāna thā mere sar kī taraf
kisī ko dekh ke ḳhud par yaqīn aayā to
uThī to aañkh kisī naqsh-e-be-hunar kī taraf
chalī hī aa.ī bil-āḳhir ka.ī irādoñ se
ḳhabar hisār liye mujh se be-ḳhabar kī taraf
na uTThi aankh kisi lafz-e-be-zarar ki taraf
na sang aae kabhi shaKH-e-be-samar ki taraf
mujhe bhi lamha-e-hijrat ne kar diya taqsim
nigah ghar ki taraf hai qadam safar ki taraf
is ek wahm mein chup-chup hain sukhti shaKHen
tuyur lauT na aaen kahin shajar ki taraf
ye mo'jiza hai ki sine mein tir baiTh gaya
agarche us ka nishana tha mere sar ki taraf
kisi ko dekh ke KHud par yaqin aaya to
uThi to aankh kisi naqsh-e-be-hunar ki taraf
chali hi aai bil-aKHir kai iradon se
KHabar hisar liye mujh se be-KHabar ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.