Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na wo diwar ki surat hai na dar ki surat

Sikandar Irfan

na wo diwar ki surat hai na dar ki surat

Sikandar Irfan

MORE BYSikandar Irfan

    na vo dīvār sūrat hai na dar sūrat

    zindagī apnī lage rāhguzar sūrat

    ḳhidmat-e-ḳhalq jazba liye har mausam meñ

    mujh ko rahnā hai bahar-hāl shajar sūrat

    ḳhushk pattoñ tarah sahrā-navardī meñ rahe

    ham ne muddat se kahāñ dekhī hai ghar sūrat

    haiñ ta.āqub meñ mire jhūTī anā ke saa.e

    kaash ho jaa.e koī in se mafar sūrat

    būḌhe maañ baap ne rishtoñ ke hasīñ mele meñ

    kho hai jaane kahāñ laḳht-e-jigar sūrat

    vo banā paa.e na 'irfān' ujāloñ meñ shanāḳht

    jo the mash.hūr añdheroñ meñ qamar sūrat

    na wo diwar ki surat hai na dar ki surat

    zindagi apni lage rahguzar ki surat

    KHidmat-e-KHalq ka jazba liye har mausam mein

    mujh ko rahna hai bahar-haal shajar ki surat

    KHushk patton ki tarah sahra-nawardi mein rahe

    hum ne muddat se kahan dekhi hai ghar ki surat

    hain taaqub mein mere jhuTi ana ke sae

    kash ho jae koi in se mafar ki surat

    buDhe man bap ne rishton ke hasin mele mein

    kho di hai jaane kahan laKHt-e-jigar ki surat

    wo bana pae na 'irfan' ujalon mein shanaKHt

    jo the mashhur andheron mein qamar ki surat

    Source:

    Simat'te Daere (Pg. 73)

    • Author: Sikandar Irfan
      • Publisher: Maktaba Sada-e-Urdu, Bhopal
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now