Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na wo nalon ki shorish hai na ghul hai aah-o-zari ka

Meer Mehdi Majrooh

na wo nalon ki shorish hai na ghul hai aah-o-zari ka

Meer Mehdi Majrooh

MORE BYMeer Mehdi Majrooh

    na vo nāloñ shorish hai na ġhul hai āh-o-zārī

    vo ab pahlā hañgāma nahīñ hai be-qarārī

    talab kaisī bulānā kyā vahāñ ḳhud pahuñchte haiñ

    agar aalam yahī chande rahā be-aḳhtyārī

    vahāñ vo nāz-o-ishve se qadam gin gin ke rakhte haiñ

    yahāñ is muntazir vaqt pahuñchā dam-shumārī

    kabhī chashm-e-ḳhumār-ālūd mastī nahīñ dekhī

    bajā hai hazrat-e-nāseh ko da.avā hoshiyārī

    bhalā kyā aisī rotī shakl paas aa kar koī baiThe

    uThe āḳhir vo jhuñjhlā kar burā ho ashk-bārī

    ajab kyā hai ki qāsid bhuul jaa.e us le jaanā

    likhūñ jis naame meñ shikva tirī ġhaflat-shi.ārī

    misāl-e-naḳhl dekhā hai usī ko phūlte-phalte

    kiyā jis shaḳhs ne hāsil tarīqa ḳhāksārī

    har ik shai hai andāza magar pāyāñ nahīñ hargiz

    tirī ġhaflat-shi.ārī mirī ummīd-vārī

    zi-bas āñkhoñ meñ rañgat chhā rahī hai lāla-o-gul

    ḳhizāñ meñ lutf aatā hai hameñ fasl-e-bahārī

    kabhī sar paañv par rakhnā kabhī qurbān kah uThnā

    hameñ thoḌā Dhab aatā to hai matlab-barārī

    chhupā kal gosha-e-mai-ḳhāna meñ 'majrūh' ne dekhā

    yūñhī shohra sunā thā shaiḳh parhez-gārī

    na wo nalon ki shorish hai na ghul hai aah-o-zari ka

    wo ab pahla sa hangama nahin hai be-qarari ka

    talab kaisi bulana kya wahan KHud ja pahunchte hain

    agar aalam yahi chande raha be-aKHtyari ka

    wahan wo naz-o-ishwe se qadam gin gin ke rakhte hain

    yahan is muntazir ka waqt pahuncha dam-shumari ka

    kabhi chashm-e-KHumar-alud ki masti nahin dekhi

    baja hai hazrat-e-naseh ko dawa hoshiyari ka

    bhala kya aisi roti shakl pas aa kar koi baiThe

    uThe aaKHir wo jhunjhla kar bura ho ashk-bari ka

    ajab kya hai ki qasid bhul jae us ka le jaana

    likhun jis name mein shikwa teri ghaflat-shiari ka

    misal-e-naKHl dekha hai usi ko phulte-phalte

    kiya jis shaKHs ne hasil tariqa KHaksari ka

    har ek shai ka hai andaza magar payan nahin hargiz

    teri ghaflat-shiari ka meri ummid-wari ka

    zi-bas aankhon mein rangat chha rahi hai lala-o-gul ki

    KHizan mein lutf aata hai hamein fasl-e-bahaari ka

    kabhi sar panw par rakhna kabhi qurban kah uThna

    hamein thoDa sa Dhab aata to hai matlab-barari ka

    chhupa kal gosha-e-mai-KHana mein 'majruh' ne dekha

    yunhi shohra suna tha shaiKH ki parhez-gari ka

    Source:

    Deewan-e-Majrooh (Pg. e-149p-76)

    • Author: Meer Mehdi Majrooh
      • Edition: 1978
      • Publisher: Sarfaraz Press, Delhi
      • Year of Publication: 1898
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now