Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na wo taeron ka jamghaT na wo shaKٓH-e-ashiyana

Danish Farahi

na wo taeron ka jamghaT na wo shaKٓH-e-ashiyana

Danish Farahi

MORE BYDanish Farahi

    na vo tā.eroñ jamghaT na vo shāKٓH-e-āshiyāna

    tum ise ḳhizāñ kahoge ki bahār zamāna

    maiñ vafāoñ huuñ paikar mirā jazb-e-muḳhlisāna

    mujhe aazmā le hamdam jo chāhe āzmānā

    mujhe tabāh kar de mirā nishāñ miTā de

    na karūñgā maiñ gavārā magar apnā sar jhukānā

    jo use koī sunegā to bhalā yaqīñ karegā

    ye janāb-e-shaiḳh hamdam ye dar-e-sharāb-ḳhāna

    ye atā-e-ishq hai ki banā huuñ maiñ ġhazal-ḳhvāñ

    na thā is ke pahle 'dānish' mirā zauq shā.irāna

    na wo taeron ka jamghaT na wo shaKٓH-e-ashiyana

    tum ise KHizan kahoge ki bahaar ka zamana

    main wafaon ka hun paikar mera jazb-e-muKHlisana

    mujhe aazma le hamdam jo tu chahe aazmana

    tu mujhe tabah kar de tu mera nishan miTa de

    na karunga main gawara magar apna sar jhukana

    jo use koi sunega to bhala yaqin karega

    ye janab-e-shaiKH hamdam ye dar-e-sharab-KHana

    ye ata-e-ishq hi hai ki bana hun main ghazal-KHwan

    na tha is ke pahle 'danish' mera zauq shairana

    Source:

    Danish Kada (Pg. 55)

    • Author: Danish Farahi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now