Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-ahl se bhule se danai na li jae

Maqsood Nashtari

na-ahl se bhule se danai na li jae

Maqsood Nashtari

MORE BYMaqsood Nashtari

    nā-ahl se bhūle se dānā.ī na jaa.e

    dariyā se samundar gahrā.ī na jaa.e

    har pal ho sanā-ḳhvānī us rabb-e-haqīqat

    is ālam-e-irfāñ se tanhā.ī na jaa.e

    jis bazm meñ miltā ho insāf-e-jahāñgīrī

    us bazm se phir kaise achchhā.ī na jaa.e

    jo gulshan-e-hastī ko shādāb na kar paa.e

    purvā.ī ho vo phir bhī purvā.ī na jaa.e

    taz.īn-e-taḳhayyul to hai lāzmī fankāro

    auroñ se kisī sūrat goyā.ī na jaa.e

    jo ḳhusrav-e-hastī haiñ aksar yahī kahte haiñ

    sadqe meñ kisī se bhī dārā.ī na jaa.e

    ā.īn-e-zabāñ-bandī kyā is liye nāfiz hai

    bedār na ho paa.eñ añgḌā.ī na jaa.e

    haañ sabr-o-qanā.at 'maqsūd' ye matlab hai

    qarze koī shai bhī ai bhaa.ī na jaa.e

    na-ahl se bhule se danai na li jae

    dariya se samundar ki gahrai na li jae

    har pal ho sana-KHwani us rabb-e-haqiqat ki

    is aalam-e-irfan se tanhai na li jae

    jis bazm mein milta ho insaf-e-jahangiri

    us bazm se phir kaise achchhai na li jae

    jo gulshan-e-hasti ko shadab na kar pae

    purwai ho wo phir bhi purwai na li jae

    tazin-e-taKHayyul to hai lazmi fankaro

    auron se kisi surat goyai na li jae

    jo KHusraw-e-hasti hain aksar yahi kahte hain

    sadqe mein kisi se bhi darai na li jae

    aain-e-zaban-bandi kya is liye nafiz hai

    bedar na ho paen angDai na li jae

    han sabr-o-qanaat ka 'maqsud' ye matlab hai

    qarze ki koi shai bhi ai bhai na li jae

    Source:

    Tanveer (Pg. 71)

    • Author: Maqsood Nashtari
      • Publisher: Irshad Maqsood
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now