Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-mehrban hai tu to koi mehrban bhi hai

Ashfaq Husain

na-mehrban hai tu to koi mehrban bhi hai

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

    nā-mehrbāñ hai to koī mehrbāñ bhī hai

    hai jis jagah zamīn vahāñ āsmāñ bhī hai

    tabdīl kar ke dekh nigāhoñ ke zāviye

    jo terī aañkh meñ hai vo manzar yahāñ bhī hai

    yuuñ to rābtoñ meñ nahīñ hai khiñchāv

    ham nahīñ haiñ aur koī darmiyāñ bhī hai

    mil gayā hai jab to mohabbat se baat kar

    varna ye dhyān rakh mire muñh meñ zabāñ bhī hai

    us raat ke idhar bhī hai ik sub.h vajūd

    merā yaqīn bhī hai ye merā gumāñ bhī hai

    merī ġhazal meñ sirf ġhazal fazā nahīñ

    lafzoñ kā.enāt meñ dil zabāñ bhī hai

    na-mehrban hai tu to koi mehrban bhi hai

    hai jis jagah zamin wahan aasman bhi hai

    tabdil kar ke dekh nigahon ke zawiye

    jo teri aankh mein hai wo manzar yahan bhi hai

    yun hi to rabton mein nahin hai khinchaw sa

    hum hi nahin hain aur koi darmiyan bhi hai

    mil hi gaya hai jab to mohabbat se baat kar

    warna ye dhyan rakh mere munh mein zaban bhi hai

    us raat ke idhar bhi hai ek subh ka wajud

    mera yaqin bhi hai ye mera guman bhi hai

    meri ghazal mein sirf ghazal ki faza nahin

    lafzon ki kaenat mein dil ki zaban bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now