Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nach ho rang ho ahbab ki mehmani ho

Inayat Ali Khan Inayat

nach ho rang ho ahbab ki mehmani ho

Inayat Ali Khan Inayat

MORE BYInayat Ali Khan Inayat

    naach ho rang ho ahbāb mehmānī ho

    ho ajab lutf jo laḌkoñ musalmānī ho

    qorma zarda ho biryānī ho būrānī ho

    hāñDī mauqūf ke takiye meñ ye dīvānī ho

    tujh ko mā'lūm ho hāl-e-shab-e-furqat ai shaiḳh

    ek din tujh se judā gar tirī shaiḳhānī ho

    saḳht patthar hai tirā naaz but-e-sañgīn dil

    vo uThā.e tire ġhamzoñ ko jo bandhānī ho

    mere bistar ko saḌe TaaT TukḌā hove

    tirī gaddī ke liye maḳhmal-e-kāshānī ho

    sabz rangoñ zarā daur to aa.e zāhid

    sahī bhang amāme meñ tire chhānī ho

    ġham-zada ālam-e-tanhā.ī meñ ham baiThe haiñ

    jaa.e kailāsh ke mele ko jo sailānī ho

    aḌve bhaḌvan pe girī paḌtī ho kuchh sharm nahīñ

    tum to nochī se sivā nā.ika mastānī ho

    motiyābind huā jaatā hai āñkhoñ meñ yahāñ

    ab bhī aa jaao jo sūrat tumheñ dikhlānī ho

    qatl-e-āshiq ke sivā aur koī kaam nahīñ

    tum bhī changez ho nādir-e-durrānī ho

    mehr ne sun ke ye ash.ār 'ināyat' se kahā

    tum 'nizāmī' ho ki 'sādī' ho ki 'ḳhāqānī' ho

    nach ho rang ho ahbab ki mehmani ho

    ho ajab lutf jo laDkon ki musalmani ho

    qorma zarda ho biryani ho burani ho

    hanDi mauquf ke takiye mein ye diwani ho

    tujh ko ma'lum ho haal-e-shab-e-furqat ai shaiKH

    ek din tujh se juda gar teri shaiKHani ho

    saKHt patthar hai tera naz but-e-sangin dil

    wo uThae tere ghamzon ko jo bandhani ho

    mere bistar ko saDe TaT ka TukDa howe

    teri gaddi ke liye maKHmal-e-kashani ho

    sabz rangon ka zara daur to aae zahid

    tu sahi bhang amame mein tere chhani ho

    gham-zada aalam-e-tanhai mein hum baiThe hain

    jae kailash ke mele ko jo sailani ho

    aDwe bhaDwan pe giri paDti ho kuchh sharm nahin

    tum to nochi se siwa naika mastani ho

    motiyabind hua jata hai aankhon mein yahan

    ab bhi aa jao jo surat tumhein dikhlani ho

    qatl-e-ashiq ke siwa aur koi kaam nahin

    tum bhi changez ho ya nadir-e-durrani ho

    mehr ne sun ke ye ashaar 'inayat' se kaha

    tum 'nizami' ho ki 'sadi' ho ki 'KHaqani' ho

    Source:

    Deewan-e-Inayat (Pg. 66)

    • Author: Inayat Ali Khan Inayat
      • Publisher: Haidari Kutub Khana, Mumbai
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now