Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nakaam hi dil jo rahna tha nakaam raha achchha hi hua

Manzar Saleem

nakaam hi dil jo rahna tha nakaam raha achchha hi hua

Manzar Saleem

MORE BYManzar Saleem

    nākām dil jo rahnā thā nākām rahā achchhā huā

    ab kiije kisī shikva kyā jo kuchh bhī huā achchhā huā

    kuchh manzil ġham baḌh jaatā kuchh rāheñ mushkil ho jātīñ

    is taptī dhuup meñ zulfoñ saaya na milā achchhā huā

    ab rāh-e-vafā ke patthar ko ham phuul nahīñ samjheñge kabhī

    pahle qadam par Thes lagī dil TuuT gayā achchhā huā

    do chaar ghaḌī hañs-bol ke ham barsoñ ḳhuuñ ke aañsū rote

    do chaar ghaḌī bhī bazm-e-tarab meñ na lagā achchhā huā

    in jaadū karne vāloñ ke kuchh bhed samajh meñ aa to ga.e

    dil pyaar ke pīchhe pāgal thā nākām rahā achchhā huā

    do ghūñT se apnī tishna-labī kyā kam hotī kyuuñ kam hotī

    chhalkā huā sāġhar hāthoñ se gir kar TuuTā achchhā huā

    har vaqt ḳhizāñ ke jhoñkoñ se Darte rahte ham bhī 'manzar'

    siine meñ kabhī armānoñ ġhuncha na khilā achchhā huā

    nakaam hi dil jo rahna tha nakaam raha achchha hi hua

    ab kije kisi ka shikwa kya jo kuchh bhi hua achchha hi hua

    kuchh manzil ka gham baDh jata kuchh rahen mushkil ho jatin

    is tapti dhup mein zulfon ka saya na mila achchha hi hua

    ab rah-e-wafa ke patthar ko hum phul nahin samjhenge kabhi

    pahle hi qadam par Thes lagi dil TuT gaya achchha hi hua

    do chaar ghaDi hans-bol ke hum barson KHun ke aansu rote

    do chaar ghaDi bhi bazm-e-tarab mein ji na laga achchha hi hua

    in jadu karne walon ke kuchh bhed samajh mein aa to gae

    dil pyar ke pichhe pagal tha nakaam raha achchha hi hua

    do ghunT se apni tishna-labi kya kam hoti kyun kam hoti

    chhalka hua saghar hathon se gir kar TuTa achchha hi hua

    har waqt KHizan ke jhonkon se Darte rahte hum bhi 'manzar'

    sine mein kabhi armanon ka ghuncha na khila achchha hi hua

    Source:

    urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 98)

      • Edition: 196.3
      • Publisher: sahityaa parkaashak maalbaara delhi
      • Year of Publication: sahityaa parkaashak maalbaara delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now