Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nala-e-dil ki to kotahi nahin

Joshish Azimabadi

nala-e-dil ki to kotahi nahin

Joshish Azimabadi

MORE BYJoshish Azimabadi

    nāla-e-dil to kotāhī nahīñ

    par asar kuchh us ko hotā nahīñ

    kitnā vo qātil hai be-ḳhauf-o-ḳhatar

    teġh-e-ḳhūñ-ālūda dhotā nahīñ

    us galī meñ jis tarah rotā huuñ maiñ

    us tarah to koī rotā nahīñ

    ḳhār-zār-e-ishq ko kyā ho gayā

    paañv meñ kāñTe chubhotā nahīñ

    tark lazzat se vāqif kaun haiñ

    gar na hotā jaan khotā nahīñ

    jāntā gar dil hai mazra yaas

    tuḳhm-e-ummīd is meñ botā nahīñ

    joñ suḳhan aatā hai silk-e-nazm meñ

    yuuñ koī motī pirotā nahīñ

    ḳhvāb meñ 'joshish' vo aa.e kis tarah

    āshiq-e-be-tāb sotā nahīñ

    nala-e-dil ki to kotahi nahin

    par asar kuchh us ko hota hi nahin

    kitna wo qatil hai be-KHauf-o-KHatar

    tegh-e-KHun-aluda dhota hi nahin

    us gali mein jis tarah rota hun main

    us tarah to koi rota hi nahin

    KHar-zar-e-ishq ko kya ho gaya

    panw mein kanTe chubhota hi nahin

    tark ki lazzat se waqif kaun hain

    gar na hota jaan khota hi nahin

    jaanta gar dil hai mazra yas ka

    tuKHm-e-ummid is mein bota hi nahin

    jon suKHan aata hai silk-e-nazm mein

    yun koi moti pirota hi nahin

    KHwab mein 'joshish' wo aae kis tarah

    aashiq-e-be-tab sota hi nahin

    Source:

    Deewan-e-Joshish(Rekhta Website) (Pg. 171)

      • Edition: 1976
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now