Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nala-e-mauzun se misra aah ka chaspan hua

Jurat Qalandar Bakhsh

nala-e-mauzun se misra aah ka chaspan hua

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    nāla-e-mauzūñ se misra.a aah chaspāñ huā

    zor ye pur-dard apnā matl.a-e-dīvāñ huā

    jis ne dekhā aa ke ye ā.īna-ḳhāna dahr

    fil-haqīqat bas vo apnā aap hairāñ huā

    sab pe zāhir ho ga.ī betābi-e-dil shakl-e-barq

    vo bhabhūkā apnī nazroñ se jo Tuk pinhāñ huā

    us ke jaane se ye dil meñ aa.e hai rah rah ke haa.e

    sab jahāñ bastā hai ik apnā ghar vīrāñ huā

    kaash dil se chashm tak aane na paatā tifl-e-ashk

    rafta rafta ab to ye laḌkā koī tūfāñ huā

    gar hue us ke lab to dekhiye kyā gul khile

    ho ḳhafā jab be-tarah vo raunaq-e-bustāñ huā

    aa.e jo marqad pe mere so mukaddar ho ga.e

    ḳhaak ho kar bhī ġhubār-e-ḳhātir-e-yārāñ huā

    roz-o-shab rahne lage is ghar meñ ye kāfir sanam

    ka.aba-e-dil saaf apnā ab to kufristāñ huā

    josh-e-vahshat dekhiyo koī ki har ik ḳhaar ke

    dhajjiyāñ ho kar gale haar ye dāmāñ huā

    ashk-e-rañgīñ ne jo apne kar diyā yaañ farsh-e-gul

    rashk-e-sad-gulshan hameñ ye gosha-e-zindāñ huā

    bañdh gayā terā tasavvur jis āñkhoñ ke huzūr

    us ko bas aalam visāl-o-hijr yaksāñ huā

    yak-ba-yak ne ye kaisā rañg badlā ai falak

    terī gardish se kahīñ kyā saḳht halkāñ huā

    kal talak jo ghar ghar apnā thā so us ke dar pe aaj

    niilā piilā dekh kar kyā kyā hameñ darbāñ huā

    garche har qālib meñ 'jur.at' sūrateñ Dhaltī rahīñ

    par banā jo dard putlā vo insāñ huā

    nala-e-mauzun se misra aah ka chaspan hua

    zor ye pur-dard apna matla-e-diwan hua

    jis ne dekha aa ke ye aaina-KHana dahr ka

    fil-haqiqat bas wo apna aap hi hairan hua

    sab pe zahir ho gai betabi-e-dil shakl-e-barq

    wo bhabhuka apni nazron se jo Tuk pinhan hua

    us ke jaane se ye dil mein aae hai rah rah ke hae

    sab jahan basta hai ek apna hi ghar viran hua

    kash dil se chashm tak aane na pata tifl-e-ashk

    rafta rafta ab to ye laDka koi tufan hua

    gar hue wa us ke lab to dekhiye kya gul khile

    ho KHafa jab be-tarah wo raunaq-e-bustan hua

    aae jo marqad pe mere so mukaddar ho gae

    KHak ho kar bhi ghubar-e-KHatir-e-yaran hua

    roz-o-shab rahne lage is ghar mein ye kafir sanam

    kaba-e-dil saf apna ab to kufristan hua

    josh-e-wahshat dekhiyo koi ki har ek KHar ke

    dhajjiyan ho kar gale ka haar ye daman hua

    ashk-e-rangin ne jo apne kar diya yan farsh-e-gul

    rashk-e-sad-gulshan hamein ye gosha-e-zindan hua

    bandh gaya tera tasawwur jis ki aankhon ke huzur

    us ko bas aalam visal-o-hijr ka yaksan hua

    yak-ba-yak tu ne ye kaisa rang badla ai falak

    teri gardish se kahin kya saKHt ji halkan hua

    kal talak jo ghar ghar apna tha so us ke dar pe aaj

    nila pila dekh kar kya kya hamein darban hua

    garche har qalib mein 'jurat' suraten Dhalti rahin

    par bana jo dard ka putla wo hi insan hua

    Source:

    Kulliyat-e-Jura t áVolume-01 â (Pg. page-1 and-E-Book-41)

    • Author: Jurat Qalandar Bakhsh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now