Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nala-kun hijr ki shab ko dil-e-na-saz nahin

Fakhir Lakhnavi

nala-kun hijr ki shab ko dil-e-na-saz nahin

Fakhir Lakhnavi

MORE BYFakhir Lakhnavi

    nāla-kun hijr shab ko dil-e-nā-sāz nahīñ

    kyoñ buland ab mire bīmār āvāz nahīñ

    gar mizāj aaj kisī shoḳh nā-sāz nahīñ

    kisī liye bazm meñ phir chang āvāz nahīñ

    taḌap utnī nahīñ tezī nahīñ āvāz nahīñ

    barq meñ bhī dil-e-betāb andāz nahīñ

    chupke chupke kiyā dil nāvak-e-mizhgāñ se hadaf

    hai ta.ajjub ki par-e-tīr āvāz nahīñ

    dil taḌaptā hai mirā tā.ir-e-bismil tarah

    ruuh qālib meñ nahīñ tāqat-e-parvāz nahīñ

    vā.izoñ ye nahīñ qaul-e-daroġh ai rindo

    hashr nazdīk hai ye duur āvāz nahīñ

    arinī maiñ jo kahūñ jalva nazar aa.e kalīm

    lan-tarānī mire vāste āvāz nahīñ

    tā.er-e-qibla-numā kahtā hai muztar ho kar

    murġh-e-bismil tarah tāqat-e-parvāz nahīñ

    gard-bād uTh ke mirī ḳhaak ye kahtā hai

    ḳhāksāroñ meñ koī mujh sar-afrāz nahīñ

    daar par chaḌh ke ye mansūr sadā detā hai

    aaj mujh koī aalam meñ sar-afrāz nahīñ

    is mire dil uḌā de jo nishāna koī

    dahr meñ kyā koī aisā qadar-andāz nahīñ

    gul-o-bulbul ko judā baaġh se kar detā hai

    tujh sayyād koī tafraqa-andāz nahīñ

    phūñk detīñ to ye sayyād ghar nāloñ se

    andalīboñ magar sho.ala-e-āvāz nahīñ

    saikḌoñ āshiq-o-māshūq chhuḌā.e ne

    ai ajal tujh koī tafraqa-andāz nahīñ

    bāda-ḳhvāroñ pe ghaTā ġham na kyūñkar chhā.e

    dil khule kyā dar-e-mai-ḳhāna agar baaz nahīñ

    band ho ho ga.iiñ yuuñ bulbul-e-dil se merī

    andalībān-e-chaman zamzama-pardāz nahīñ

    jis tarah jaan bachā.ī mai-e-vaslat ne mirī

    pur-asar aisā koī sharbat-e-e.ajāz nahīñ

    qabr meñ kyoñ na akele mirā ghabrā.e

    koī mūnis nahīñ yāvar nahīñ dam-sāz nahīñ

    paar nāvak na huā toḌ ke dil ko mere

    zor baazū meñ tire o qadar-andāz nahīñ

    kāTtā kyoñ hai qaiñchī se ise ai sayyād

    par jo do-chār haiñ ye qabil-e-parvāz nahīñ

    qabr par aa ke bhī dil pīsne aa.e ho mirā

    paañv rakhne lahad par to ye andāz nahīñ

    sūrat-e-ashk magar ahl-e-adam jaate haiñ

    hai ravāñ qāfila par zang āvāz nahīñ

    baaġh vīrān kiyā bād-e-ḳhizāñ ne aisā

    ham-safīrān-e-chaman kahīñ āvāz nahīñ

    ho ga.ī band zabāñ jald ḳhabar le iisā

    hichkiyoñ tire bīmār meñ āvāz nahīñ

    sard aahoñ se ho kyā sirr-e-mohabbat zāhir

    bū-e-ġhuncha tarah dil meñ mire raaz nahīñ

    is tarah kufr aalam meñ huī hai kasrat

    masjidoñ tak meñ azānoñ bhī āvāz nahīñ

    aaj kyā mar ga.e zindāñ meñ tumhāre qaidī

    ḳhair ho kyoñ ġhul-o-zanjīr āvāz nahīñ

    daur hai mehdī-e-dīñ jo jahān meñ 'fāḳhir'

    but-kadoñ meñ kahīñ nāqūs āvāz nahīñ

    nala-kun hijr ki shab ko dil-e-na-saz nahin

    kyon buland ab mere bimar ki aawaz nahin

    gar mizaj aaj kisi shoKH ka na-saz nahin

    kisi liye bazm mein phir chang ki aawaz nahin

    taDap utni nahin tezi nahin aawaz nahin

    barq mein bhi dil-e-betab ka andaz nahin

    chupke chupke kiya dil nawak-e-mizhgan se hadaf

    hai tajjub ki par-e-tir ki aawaz nahin

    dil taDapta hai mera tair-e-bismil ki tarah

    ruh qalib mein nahin taqat-e-parwaz nahin

    waizon ka ye nahin qaul-e-darogh ai rindo

    hashr nazdik hai ye dur ki aawaz nahin

    arini main jo kahun jalwa nazar aae kalim

    lan-tarani ki mere waste aawaz nahin

    taer-e-qibla-numa kahta hai muztar ho kar

    murgh-e-bismil ki tarah taqat-e-parwaz nahin

    gard-baad uTh ke meri KHak ka ye kahta hai

    KHaksaron mein koi mujh sa sar-afraaz nahin

    dar par chaDh ke ye mansur sada deta hai

    aaj mujh sa koi aalam mein sar-afraaz nahin

    is mere dil ka uDa de jo nishana koi

    dahr mein kya koi aisa qadar-andaz nahin

    gul-o-bulbul ko juda bagh se kar deta hai

    tujh sa sayyaad koi tafraqa-andaz nahin

    phunk detin to ye sayyaad ka ghar nalon se

    andalibon ki magar shoala-e-awaz nahin

    saikDon aashiq-o-mashuq chhuDae tu ne

    ai ajal tujh sa koi tafraqa-andaz nahin

    baada-KHwaron pe ghaTa gham ki na kyunkar chhae

    dil khule kya dar-e-mai-KHana agar baz nahin

    band ho ho gain yun bulbul-e-dil se meri

    andaliban-e-chaman zamzama-pardaz nahin

    jis tarah jaan bachai mai-e-waslat ne meri

    pur-asar aisa koi sharbat-e-eajaz nahin

    qabr mein kyon na akele mera ji ghabrae

    koi munis nahin yawar nahin dam-saz nahin

    par nawak na hua toD ke dil ko mere

    zor bazu mein tere o qadar-andaz nahin

    kaTta kyon hai tu qainchi se ise ai sayyaad

    par jo do-chaar hain ye qabil-e-parwaz nahin

    qabr par aa ke bhi dil pisne aae ho mera

    panw rakhne ka lahad par to ye andaz nahin

    surat-e-ashk magar ahl-e-adam jate hain

    hai rawan qafila par zang ki aawaz nahin

    bagh viran kiya baad-e-KHizan ne aisa

    ham-safiran-e-chaman ki kahin aawaz nahin

    ho gai band zaban jald KHabar le isa

    hichkiyon ki tere bimar mein aawaz nahin

    sard aahon se ho kya sirr-e-mohabbat zahir

    bu-e-ghuncha ki tarah dil mein mere raaz nahin

    is tarah kufr ki aalam mein hui hai kasrat

    masjidon tak mein azanon ki bhi aawaz nahin

    aaj kya mar gae zindan mein tumhaare qaidi

    KHair ho kyon ghul-o-zanjir ki aawaz nahin

    daur hai mehdi-e-din ka jo jahan mein 'faKHir'

    but-kadon mein kahin naqus ki aawaz nahin

    Source:

    Karnama-e-Nazm (Pg. 143)

    • Author: Fakhir Lakhnavi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1889
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now