Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam badnam hai nahaq shab-e-tanhai ka

Fani Badayuni

nam badnam hai nahaq shab-e-tanhai ka

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    naam badnām hai nāhaq shab-e-tanhā.ī

    vo bhī ik ruḳh hai tirī anjuman-ārā.ī

    aa chalā hai mujhe kuchh vāda-e-fardā yaqīñ

    dil pe ilzām na aa jaa.e shakebā.ī

    ab na kāñToñ se kuchh laag na phūloñ se lagāo

    ham ne dekhā hai tamāshā tirī rānā.ī

    donoñ aalam se guzar kar bhī zamāna guzrā

    kuchh Thikānā bhī hai is bādiya-paimā.ī

    ḳhud betāb tajallī hai azal se koī

    dekhne ke liye parda hai tamannā.ī

    lag ga.ī bhiiḌ ye dīvāna jidhar se guzrā

    ek aalam ko hai saudā tire saudā.ī

    phir usī kāfir be-mehr ke dar par 'fānī'

    le chalā shauq mujhe nāsiya-farsā.ī

    nam badnam hai nahaq shab-e-tanhai ka

    wo bhi ek ruKH hai teri anjuman-arai ka

    aa chala hai mujhe kuchh wada-e-farda ka yaqin

    dil pe ilzam na aa jae shakebai ka

    ab na kanTon hi se kuchh lag na phulon se lagao

    hum ne dekha hai tamasha teri ranai ka

    donon aalam se guzar kar bhi zamana guzra

    kuchh Thikana bhi hai is baadiya-paimai ka

    KHud hi betab tajalli hai azal se koi

    dekhne ke liye parda hai tamannai ka

    lag gai bhiD ye diwana jidhar se guzra

    ek aalam ko hai sauda tere saudai ka

    phir usi kafir be-mehr ke dar par 'fani'

    le chala shauq mujhe nasiya-farsai ka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nam badnam hai nahaq shab-e-tanhai ka Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now