Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam bhi achchha sa tha chehra bhi tha mahtab sa

Murtaza Barlas

nam bhi achchha sa tha chehra bhi tha mahtab sa

Murtaza Barlas

MORE BYMurtaza Barlas

    naam bhī achchhā thā chehra bhī thā mahtāb

    haañ hameñ kuchh yaad hotā hai magar kuchh ḳhvāb

    ye mire siine meñ dil rakkhā hai koī chakor

    chāñdnī rātoñ meñ kyuuñ rahtā huuñ maiñ betāb

    ho gayā kis zikr se ye murta.ish saarā vajūd

    tār-e-sāz-e-dil pe āḳhir kyā lagā mizrāb

    kuchh kitābeñ aur qalam kāġhaz ke kuchh purzoñ pe sher

    mere ghar meñ hai yahī bas qīmtī asbāb

    paañv rakhte bahā kar le gayā sailāb meñ

    duur se lagtā thā jo dariyā hameñ pāyāb

    is tarah ke kuchh havārī saath iisā ke bhī the

    jis tarah hai gird mere halqa-e-ahbāb

    āsmāñ par aañkh sūraj na bujh jaa.e kahīñ

    hai zamīñ par raushnī is qadar sailāb

    nam bhi achchha sa tha chehra bhi tha mahtab sa

    han hamein kuchh yaad hota hai magar kuchh KHwab sa

    ye mere sine mein dil rakkha hai ya koi chakor

    chandni raaton mein kyun rahta hun main betab sa

    ho gaya kis zikr se ye murtaish sara wajud

    tar-e-saz-e-dil pe aaKHir kya laga mizrab sa

    kuchh kitaben aur qalam kaghaz ke kuchh purzon pe sher

    mere ghar mein hai yahi bas qimti asbab sa

    panw rakhte hi baha kar le gaya sailab mein

    dur se lagta tha jo dariya hamein payab sa

    is tarah ke kuchh hawari sath isa ke bhi the

    jis tarah hai gird mere halqa-e-ahbab sa

    aasman par aankh suraj ki na bujh jae kahin

    hai zamin par raushni ka is qadar sailab sa

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 12.11.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now