Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam hamara duniya wale likhenge ji-daron mein

Rasheed Qaisrani

nam hamara duniya wale likhenge ji-daron mein

Rasheed Qaisrani

MORE BYRasheed Qaisrani

    naam hamārā duniyā vaale likheñge jī-dāroñ meñ

    naach rahe haiñ apnī apnī laash pe ham bāzāroñ meñ

    ek purānī rasm hai baaqī aaj talak darbāroñ meñ

    chāñd se chehre chun dete haiñ patthar dīvāroñ meñ

    aaj kahāñ haiñ shahr meñ yaaro ūñchī gardan vaale log

    aam haiñ ab to paañv baḌe aur sar chhoTe sardāroñ meñ

    paar utarne vāloñ ko ab dīvānoñ meñ ginte ho

    shāyad ḳhush-qismat the vo jo Duub ga.e mañjdhāroñ meñ

    kyā ma.alūm koī chiñgārī jaag uThe aur chīḳh paḌe

    behtar hai tum haath na Daalo in bujhte añgāroñ meñ

    vaar pe vaar sahe haiñ lekin ek lahū buuñd nahīñ

    jism haiñ saare patthar ke kaaT nahīñ talvāroñ meñ

    kāñch ke ye chamkīle TukḌe āḳhir ḳhuun rulāte haiñ

    dil se sachchī chiiz na bāñTo un jhūTe dil-dāroñ meñ

    kaun tumhārā dard baTā.e kis ko itnī fursat hai

    naam 'rashīd' tum apnā likh lo ḳhud apne ġham-ḳhvāroñ meñ

    nam hamara duniya wale likhenge ji-daron mein

    nach rahe hain apni apni lash pe hum bazaron mein

    ek purani rasm hai baqi aaj talak darbaron mein

    chand se chehre chun dete hain patthar ki diwaron mein

    aaj kahan hain shahr mein yaro unchi gardan wale log

    aam hain ab to panw baDe aur sar chhoTe sardaron mein

    par utarne walon ko ab diwanon mein ginte ho

    shayad KHush-qismat the wo jo Dub gae manjdhaaron mein

    kya malum koi chingari jag uThe aur chiKH paDe

    behtar hai tum hath na Dalo in bujhte angaron mein

    war pe war sahe hain lekin ek lahu ki bund nahin

    jism hain sare patthar ke ya kaT nahin talwaron mein

    kanch ke ye chamkile TukDe aaKHir KHun rulate hain

    dil se sachchi chiz na banTo un jhuTe dil-daron mein

    kaun tumhaara dard baTae kis ko itni fursat hai

    nam 'rashid' tum apna likh lo KHud apne gham-KHwaron mein

    Source:

    Fasiil-e-lab (Pg. 124)

    • Author: Rashiid Qaisarani
      • Edition: 1973
      • Publisher: Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now