nam sun kar aankh mein ek rang bhar jata shahab

nam sun kar aankh mein ek rang bhar jata shahab
Shahabullah Shahab
MORE BYShahabullah Shahab
naam sun kar aañkh meñ ik rang bhar jaatā 'shahāb'
pāniyoñ par 'aks sā phir tair jaatā thā shahāb
us ke hoñToñ par tabassum mere sho'loñ kī tarah
jis ne mujh ko āsmāñ se TūTte dekhā shahāb
chauñk jaatā thā maiñ aksar dekh kar us shaḳhs ko
naam terā sun ke gahrā saañs jo letā shahāb
vo milā jab rāste meñ ajnabī ban kar milā
kaash merī ruuh ko pahchāntā merā shahāb
baat karte karte us ke lafz bhī rone lage
āñsuoñ meñ bhīgtā dekhā gayā lahja shahāb
thī sharāb-e-chashm hī mahñgī jahāñ 'āshiq ga.e
ḳhūn-e-dil bāzār meñ biktā rahā sastā shahāb
ham rahe pyāse hamārī soch bhī pyāsī rahī
ham jahāñ rahte the bahtā thā vahāñ dariyā shahāb
us ne merā haath pakḌā aur samjhāne lagā
maiñ ne dekhā to thā vo rasta tire ghar kā 'shahāb'
nam sun kar aankh mein ek rang bhar jata 'shahab'
paniyon par 'aks sa phir tair jata tha shahab
us ke honTon par tabassum mere sho'lon ki tarah
jis ne mujh ko aasman se TuTte dekha shahab
chaunk jata tha main aksar dekh kar us shaKHs ko
nam tera sun ke gahra sans jo leta shahab
wo mila jab raste mein ajnabi ban kar mila
kash meri ruh ko pahchanta mera shahab
baat karte karte us ke lafz bhi rone lage
aansuon mein bhigta dekha gaya lahja shahab
thi sharab-e-chashm hi mahngi jahan 'ashiq gae
KHun-e-dil bazar mein bikta raha sasta shahab
hum rahe pyase hamari soch bhi pyasi rahi
hum jahan rahte the bahta tha wahan dariya shahab
us ne mera hath pakDa aur samjhane laga
main ne dekha to tha wo rasta tere ghar ka 'shahab'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.