Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam sunta hun tera jab bhare sansar ke bich

Adeel Zaidi

nam sunta hun tera jab bhare sansar ke bich

Adeel Zaidi

MORE BYAdeel Zaidi

    naam suntā huuñ tirā jab bhare sansār ke biich

    lafz ruk jaate haiñ aa kar mirī guftār ke biich

    ek chehra kitābī nazar aatā hai hameñ

    kabhī ash.ār ke bāhar kabhī ash.ār ke biich

    ek dil TuuTā magar kitnī naqābeñ palTīñ

    jiit ke pahlū nikal aa.e ka.ī haar ke biich

    koī mahfil ho nazar us hamīñ par Thahrī

    kabhī apnoñ meñ satāyā kabhī aġhyār ke biich

    aise zāhid qayādat meñ to tauba tauba

    kabhī īmān bāteñ kabhī kuffār ke biich

    kabhī tahzīb-o-tamaddun ye markaz thā miyāñ

    tum ko bastī jo nazar aatī hai āsār ke biich

    jis tarah TaaT paivand ho maḳhmal meñ 'adīl'

    maġhribī chāl-chalan mashriqī aqdār ke biich

    nam sunta hun tera jab bhare sansar ke bich

    lafz ruk jate hain aa kar meri guftar ke bich

    ek hi chehra kitabi nazar aata hai hamein

    kabhi ashaar ke bahar kabhi ashaar ke bich

    ek dil TuTa magar kitni naqaben palTin

    jit ke pahlu nikal aae kai haar ke bich

    koi mahfil ho nazar us ki hamin par Thahri

    kabhi apnon mein sataya kabhi aghyar ke bich

    aise zahid ki qayaadat mein to tauba tauba

    kabhi iman ki baaten kabhi kuffar ke bich

    kabhi tahzib-o-tamaddun ka ye markaz tha miyan

    tum ko basti jo nazar aati hai aasar ke bich

    jis tarah TaT ka paiwand ho maKHmal mein 'adil'

    maghribi chaal-chalan mashriqi aqdar ke bich

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now