Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nama-e-gul mein kisi shoKH ki tahrir ka rang

Mukhtar Shameem

nama-e-gul mein kisi shoKH ki tahrir ka rang

Mukhtar Shameem

MORE BYMukhtar Shameem

    nāma-e-gul meñ kisī shoḳh tahrīr rañg

    dil-e-pur-ḳhūñ ubhartī huī tasvīr rañg

    vo tahī-māya pashemān-e-vafā haiñ ham log

    apnī taqrīr meñ jaadū hai na tahrīr rañg

    sabz-dar-sabz daraḳhtoñ meñ chalā aag phaag

    ujlā ujlā hai mire ḳhvāb ta.abīr rañg

    qatl honā hai sar-e-shām-e-tamannā har roz

    roz laanā hai na.ī sub.h tanvīr rañg

    rañg detā hai kahīñ ā.ina-e-nām-o-numūd

    ḳhuub khiltā hai kahīñ jauhar-e-tauqīr rañg

    nama-e-gul mein kisi shoKH ki tahrir ka rang

    dil-e-pur-KHun ki ubharti hui taswir ka rang

    wo tahi-maya pasheman-e-wafa hain hum log

    apni taqrir mein jadu hai na tahrir ka rang

    sabz-dar-sabz daraKHton mein chala aag ka phag

    ujla ujla hai mere KHwab ki tabir ka rang

    qatl hona hai sar-e-sham-e-tamanna har roz

    roz lana hai nai subh ki tanwir ka rang

    rang deta hai kahin aaina-e-nam-o-numud

    KHub khilta hai kahin jauhar-e-tauqir ka rang

    Source:

    Nama-e-Gul (Pg. 6)

    • Author: Mukhtar Shameem
      • Edition: 1978
      • Publisher: Bhopal Book House, Bhopal
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now