Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nama-e-yar jo sahar pahuncha

Nazeer Akbarabadi

nama-e-yar jo sahar pahuncha

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    nāma-e-yār jo sahar pahuñchā

    ḳhush-raqam ḳhuub vaqt par pahuñchā

    thā likhā yuuñ ki ai 'nazīr' ab tak

    kis sabab nahīñ idhar pahuñchā

    maiñ ne us ko kahā ki ai mahbūb

    is liye maiñ nahīñ udhar pahuñchā

    yuuñ sunā thā tum aapī aate ho

    is meñ naama ye pur-guhar pahuñchā

    mujh ko pahuñchā jaano apne paas

    āj-kal shaam sahar pahuñchā

    nama-e-yar jo sahar pahuncha

    KHush-raqam KHub waqt par pahuncha

    tha likha yun ki ai 'nazir' ab tak

    kis sabab tu nahin idhar pahuncha

    main ne us ko kaha ki ai mahbub

    is liye main nahin udhar pahuncha

    yun suna tha tum aapi aate ho

    is mein nama ye pur-guhar pahuncha

    mujh ko pahuncha hi jaano apne pas

    aaj-kal sham ya sahar pahuncha

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 11 (124))

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now