Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nama tera main le kar munh dekh rah gaya tha

Asifud Daula

nama tera main le kar munh dekh rah gaya tha

Asifud Daula

MORE BYAsifud Daula

    naama tirā maiñ le kar muñh dekh rah gayā thā

    kyā jāniye ki qāsid kyā mujh ko kah gayā thā

    kūche se apne ne mujh ko abas uThāyā

    sab to chale ga.e the ik maiñ rah gayā thā

    pahle jo aañsū dekhā lohū laal tum ne

    nāseh vo dil hamārā ḳhuuñ ho ke bah gayā thā

    kuchh bhī na sūjhtā thā us bin mujhe to 'āsif'

    jis din satī yahāñ se vo rashk-e-mah gayā thā

    nama tera main le kar munh dekh rah gaya tha

    kya jaaniye ki qasid kya mujh ko kah gaya tha

    kuche se apne tu ne mujh ko abas uThaya

    sab to chale gae the ek main hi rah gaya tha

    pahle jo aansu dekha lohu sa lal tum ne

    naseh wo dil hamara KHun ho ke bah gaya tha

    kuchh bhi na sujhta tha us bin mujhe to 'asif'

    jis din sati yahan se wo rashk-e-mah gaya tha

    Source:

    Lucknow Ke Chand Namwar Shora-volume-001 (Pg. ebook-63 page-64)

    • Author: Syed Sulaiman Husain
      • Edition: 1973
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now