Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

narawa tha na-munasib tha magar achchha laga

Mohammad Naim Jawed Naim

narawa tha na-munasib tha magar achchha laga

Mohammad Naim Jawed Naim

MORE BYMohammad Naim Jawed Naim

    nāravā thā nā-munāsib thā magar achchhā lagā

    bevafā ik dushmanoñ pusht par achchhā lagā

    vo achānak lauT aayā toḌ kar rasm-e-firāq

    garmiyoñ meñ sard mausam samar achchhā lagā

    lag ga.ī shāyad mujhe āvārgī bad-duā

    lauT kar ab ke maiñ aayā huuñ to ghar achchhā lagā

    har kisī se hañs ke milnā ḳhush-dilī se bolnā

    merā dushman hai magar us hunar achchhā lagā

    ye mohabbat hai mirī us hai koī kamāl

    jis qadar parkhā use vo us qadar achchhā lagā

    aane vaale mausamoñ saḳhtiyoñ ke zikr par

    us ke chehre par akele-pan Dar achchhā lagā

    ab ke us ke qurb jannat bhī dekhī paas se

    ab ke mujh ko ḳhvāb-zāroñ safar achchhā lagā

    mere baare meñ mujhī se pūchhtā hai vo 'na.īm'

    is ḳhabar ke daur meñ ik be-ḳhabar achchhā lagā

    narawa tha na-munasib tha magar achchha laga

    bewafa ek dushmanon ki pusht par achchha laga

    wo achanak lauT aaya toD kar rasm-e-firaq

    garmiyon mein sard mausam ka samar achchha laga

    lag gai shayad mujhe aawargi ki bad-dua

    lauT kar ab ke main aaya hun to ghar achchha laga

    har kisi se hans ke milna KHush-dili se bolna

    mera dushman hai magar us ka hunar achchha laga

    ye mohabbat hai meri ya us ka hai koi kamal

    jis qadar parkha use wo us qadar achchha laga

    aane wale mausamon ki saKHtiyon ke zikr par

    us ke chehre par akele-pan ka Dar achchha laga

    ab ke us ke qurb ki jannat bhi dekhi pas se

    ab ke mujh ko KHwab-zaron ka safar achchha laga

    mere bare mein mujhi se puchhta hai wo 'naim'

    is KHabar ke daur mein ek be-KHabar achchha laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now