Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nawak kahen sinan kahen talwar kya kahen

Mubarak Azimabadi

nawak kahen sinan kahen talwar kya kahen

Mubarak Azimabadi

MORE BYMubarak Azimabadi

    nāvak kaheñ sināñ kaheñ talvār kyā kaheñ

    batā tujhe nigah-e-yār kyā kaheñ

    shikva na daam hai na sayyād gila

    ham aap ho ga.e haiñ giraftār kyā kaheñ

    iz.hār-e-hāl-e-zār aisoñ se fā.eda

    āzār dil tujh se dil-āzār kyā kaheñ

    karte haiñ vaa.iz aap mazammat sharāb

    kahte haiñ kyā janāb ko mai-ḳhvār kyā kaheñ

    aisoñ se tark-e-mai 'mubārak' savāl kyā

    tauba tujh se rind-e-qadah-ḳhvār kyā kaheñ

    nawak kahen sinan kahen talwar kya kahen

    tu hi bata tujhe nigah-e-yar kya kahen

    shikwa na dam ka hai na sayyaad ka gila

    hum aap ho gae hain giraftar kya kahen

    izhaar-e-haal-e-zar ka aison se faeda

    aazar dil ka tujh se dil-azar kya kahen

    karte hain waiz aap mazammat sharab ki

    kahte hain kya janab ko mai-KHwar kya kahen

    aison se tark-e-mai ka 'mubarak' sawal kya

    tauba ki tujh se rind-e-qadah-KHwar kya kahen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now