Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nayab hai sukun dil-e-be-qarar mein

Wajid Ali Shah Akhtar

nayab hai sukun dil-e-be-qarar mein

Wajid Ali Shah Akhtar

MORE BYWajid Ali Shah Akhtar

    nāyāb hai sukūn dil-e-be-qarār meñ

    bismil hai taḌap mire kunj-e-mazār meñ

    gulzār-e-dahr meñ chaman-e-be-ḳhizāñ huuñ maiñ

    laale rañg hai jigar-e-dāġh-dār meñ

    kāñTā milā hai guuñj zulfoñ jaal hai

    baalī machhlī haath lagī hai shikār meñ

    nau laakh jabhī huī qīmat use nasīb

    motī the mere ābloñ ke un ke haar meñ

    ayyām-e-aish meñ ruḳh-e-daulat se hai alag

    afsos par hamāre kaTe haiñ bahār meñ

    jab se uḌī hai ḳhāk-e-alam rashk-e-māhtāb

    ik āsmān aur hai mere ġhubār meñ

    dhoī huī hai duudh se terī zabān-e-sāf

    'aḳhtar' hai shā.iroñ ke e'tibār meñ

    nayab hai sukun dil-e-be-qarar mein

    bismil ki hai taDap mere kunj-e-mazar mein

    gulzar-e-dahr mein chaman-e-be-KHizan hun main

    lale ka rang hai jigar-e-dagh-dar mein

    kanTa mila hai gunj ka zulfon ka jal hai

    baali ki machhli hath lagi hai shikar mein

    nau lakh ki jabhi hui qimat use nasib

    moti the mere aablon ke un ke haar mein

    ayyam-e-aish mein ruKH-e-daulat se hai alag

    afsos par hamare kaTe hain bahaar mein

    jab se uDi hai KHak-e-alam rashk-e-mahtab

    ek aasman aur hai mere ghubar mein

    dhoi hui hai dudh se teri zaban-e-saf

    'aKHtar' tu hi hai shairon ke e'tibar mein

    Source:

    Intikhab-e-wajid ali shah akhtar (Pg. B-159 E-160)

    • Author: Wajid Ali Shah Akhtar
      • Edition: 1984
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now