Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naz-e-beganagi mein kya kuchh tha

Nasir Kazmi

naz-e-beganagi mein kya kuchh tha

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    nāz-e-begānagī meñ kyā kuchh thā

    husn sādgī meñ kyā kuchh thā

    laakh rāheñ thiiñ laakh jalve the

    ahd-e-āvārgī meñ kyā kuchh thā

    aañkh khulte chhup ga.ī har shai

    ālam-e-be-ḳhudī meñ kyā kuchh thā

    yaad haiñ marhale mohabbat ke

    haa.e is bekalī meñ kyā kuchh thā

    kitne biite dinoñ yaad aa.ī

    aaj terī kamī meñ kyā kuchh thā

    kitne mānūs log yaad aa.e

    sub.h chāñdnī meñ kyā kuchh thā

    rāt-bhar ham na so sake 'nāsir'

    parda-e-ḳhāmushī meñ kyā kuchh thā

    naz-e-beganagi mein kya kuchh tha

    husn ki sadgi mein kya kuchh tha

    lakh rahen thin lakh jalwe the

    ahd-e-awargi mein kya kuchh tha

    aankh khulte hi chhup gai har shai

    aalam-e-be-KHudi mein kya kuchh tha

    yaad hain marhale mohabbat ke

    hae is bekali mein kya kuchh tha

    kitne bite dinon ki yaad aai

    aaj teri kami mein kya kuchh tha

    kitne manus log yaad aae

    subh ki chandni mein kya kuchh tha

    raat-bhar hum na so sake 'nasir'

    parda-e-KHamushi mein kya kuchh tha

    Source:

    Kulliyaat-e-Nasir Kazmi (Pg. 51)

    • Author: Nasir Kazmi
      • Edition: 1957
      • Publisher: Nasir Kazmi
      • Year of Publication: 1957
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now