Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazish-e-husn-e-nazar hain hum log

Abdul Kareem Majrooh Siddiqi

nazish-e-husn-e-nazar hain hum log

Abdul Kareem Majrooh Siddiqi

MORE BYAbdul Kareem Majrooh Siddiqi

    nāzish-e-husn-e-nazar haiñ ham log

    azmat-e-shām-o-sahar haiñ ham log

    husn-e-do-roza pe nāzāñ kyoñ ho

    dā.imī kohl-e-basar haiñ ham log

    kārvāñ rāhguzar aur rahbar

    aur phir gard-e-safar haiñ ham log

    har qadam husn ke mahshar lekin

    hashr had-e-nazar haiñ ham log

    kyoñ zamāna nahīñ vāqif ham se

    haibat-o-ḳhauf-o-ḳhatar haiñ ham log

    vaqt hai tez ravāñ ham ḳhufta

    kitne kotāh-nazar haiñ ham log

    nazish-e-husn-e-nazar hain hum log

    azmat-e-sham-o-sahar hain hum log

    husn-e-do-roza pe nazan kyon ho

    daimi kohl-e-basar hain hum log

    karwan rahguzar aur rahbar

    aur phir gard-e-safar hain hum log

    har qadam husn ke mahshar lekin

    hashr ki had-e-nazar hain hum log

    kyon zamana nahin waqif hum se

    haibat-o-KHauf-o-KHatar hain hum log

    waqt hai tez rawan hum KHufta

    kitne kotah-nazar hain hum log

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 88)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now