samajh mein aae tujhe waisa hi KHayal kahun
samajh meñ aa.e tujhe vaisā hī ḳhayāl kahūñ
ye soch ke mujhe lagtā hai hāl-chāl kahūñ
phir ek aah ko dast-e-talab meñ paayā hai
maiñ us kā haal kahūñ rab yā apnā haal kahūñ
jo mustahiq ho to tā'rīf bhī karūñgā magar
sivā.e dard ke hai kyā jise kamāl kahūñ
'nabīl' merī madad kar ki tū to shā'ir hai
maiñ kis zabān meñ us ke batā jamāl kahūñ
samajh mein aae tujhe waisa hi KHayal kahun
ye soch ke mujhe lagta hai haal-chaal kahun
phir ek aah ko dast-e-talab mein paya hai
main us ka haal kahun rab ya apna haal kahun
jo mustahiq ho to ta'rif bhi karunga magar
siwae dard ke hai kya jise kamal kahun
'nabil' meri madad kar ki tu to sha'ir hai
main kis zaban mein us ke bata jamal kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.