KHush ho koi duniya mein ye aasan nahin hai
ḳhush ho koī duniyā meñ ye āsān nahīñ hai
insāñ kabhī insāñ bane imkān nahīñ hai
āñkhoñ se merī kahtā hai aa.ina ye har baar
ye jism merī ruuh kī pahchān nahīñ hai
ā.īne meñ dikhtā hai kabhī merā vo chehra
jis se abhī ḳhud merī bhī pahchān nahīñ hai
jab pyaar huā ḳhud ko ye samjhā ke manāyā
ye rog na ho jis ko vo insān nahīñ hai
KHush ho koi duniya mein ye aasan nahin hai
insan kabhi insan bane imkan nahin hai
aankhon se meri kahta hai aaina ye har bar
ye jism meri ruh ki pahchan nahin hai
aaine mein dikhta hai kabhi mera wo chehra
jis se abhi KHud meri bhi pahchan nahin hai
jab pyar hua KHud ko ye samjha ke manaya
ye rog na ho jis ko wo insan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.