Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naddi naddi ran paDte hain jab se naw utari hai

Ezaz Afzal

naddi naddi ran paDte hain jab se naw utari hai

Ezaz Afzal

MORE BYEzaz Afzal

    naddī naddī ran paḌte haiñ jab se naav utārī hai

    tūfānoñ ke kas-bal dekhe ab mallāh baarī hai

    niiñd ragoñ meñ dauḌ rahī hai por por bedārī hai

    jism bahut hassās hai lekin dil jazbāt se aarī hai

    āvāzoñ ke paikar zaḳhmī lafzoñ ke but lahūluhān

    karte haiñ iz.hār-e-tafannun kahte haiñ fankārī hai

    manzil manzil paañv jamā kar ham bhī chale the ham-safaro

    ukhḌī ukhḌī chaal baa.is raah nā-hamvārī hai

    aañkh thakan ne kholī hai azm-e-safar ne karvaT

    par phailā kar baiThoge uḌne tayyārī hai

    sach kahte ho niiv meñ is TeḌhī koī iiñT nahīñ

    āḌī-tirchhī chhat baa.is ghar kaj-dīvārī hai

    kyā kahiye kyuuñ aaj saroñ se zaḳhmoñ bojh uTh na sakā

    patthar the lekin halke the phuul hai lekin bhārī hai

    bastī bastī qarya qarya kosoñ āñgan hai na muñDer

    zehn ḳharāba dil vīrāna ghar a.asāb pe taarī hai

    ek diyā aur itnā raushan jaise dahaktā sūraj ho

    kahne vaale sach kahte haiñ raat bahut añdhiyārī hai

    naddi naddi ran paDte hain jab se naw utari hai

    tufanon ke kas-bal dekhe ab mallah ki bari hai

    nind ragon mein dauD rahi hai por por bedari hai

    jism bahut hassas hai lekin dil jazbaat se aari hai

    aawazon ke paikar zaKHmi lafzon ke but lahuluhan

    karte hain izhaar-e-tafannun kahte hain fankari hai

    manzil manzil panw jama kar hum bhi chale the ham-safaro

    ukhDi ukhDi chaal ka bais rah ki na-hamwari hai

    aankh thakan ne kholi hai ya azm-e-safar ne karwaT li

    par phaila kar baiThoge ya uDne ki tayyari hai

    sach kahte ho niw mein is ki TeDhi koi inT nahin

    aaDi-tirchhi chhat ka bais ghar ki kaj-diwari hai

    kya kahiye kyun aaj saron se zaKHmon ka bojh uTh na saka

    patthar the lekin halke the phul hai lekin bhaari hai

    basti basti qarya qarya koson aangan hai na munDer

    zehn KHaraba dil virana ghar aasab pe tari hai

    ek diya aur itna raushan jaise dahakta suraj ho

    kahne wale sach kahte hain raat bahut andhiyari hai

    Source :
    • Book : Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 146)
    • Author : Aizaz Afzal
    • Publication : Usmania Book Depot
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now